ilaahi khair jo shar waan nahin to yaa bhi nahin
taammul is mein agar waan nahin to yaa bhi nahin
kuchh un ghar se nahin kam hamaara khaana-e-dil
jo aadmi ka guzar waan nahin to yaa bhi nahin
vo jaan lete hain ham un pe jaan dete hain
naseehaton ka asar waan nahin to yaa bhi nahin
mare mitenge ham ai dil yahi jo chashmak hai
safaai madd-e-nazar waan nahin to yaa bhi nahin
karega naaz tadapne mein ham se kya bismil
kami-e-dard-e-jigar waan nahin to yaa bhi nahin
vo tegh-zan hain to ham bhi jigar pe rokenge
jo ehtiyaaj-e-sipar waan nahin to yaa bhi nahin
vo be-khabar hain jahaan se to ham hain khud-rafta
zamaane ki jo khabar waan nahin to yaa bhi nahin
khajil hain gaalon se un ke hamaare daaghoon se
farogh-e-shams-o-qamar waan nahin to yaa bhi nahin
tum aaine mein ye kis naazneen se kahte the
bagaur dekh kamar waan nahin to yaa bhi nahin
shab-e-mazaar se kuchh kam nahin hai shaam-e-firaq
agar aseer-e-sehr waan nahin to yaa bhi nahin
vo gaali denge to bosa sharf main le loonga
lihaaz-e-paas agar waan nahin to yaa bhi nahin
इलाही ख़ैर जो शर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
तअम्मुल इस में अगर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
कुछ उन घर से नहीं कम हमारा ख़ाना-ए-दिल
जो आदमी का गुज़र वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
वो जान लेते हैं हम उन पे जान देते हैं
नसीहतों का असर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
मरे मिटेंगे हम ऐ दिल यही जो चश्मक है
सफ़ाई मद्द-ए-नज़र वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
करेगा नाज़ तड़पने में हम से क्या बिस्मिल
कमी-ए-दर्द-ए-जिगर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
वो तेग़-ज़न हैं तो हम भी जिगर पे रोकेंगे
जो एहतियाज-ए-सिपर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
वो बे-ख़बर हैं जहाँ से तो हम हैं ख़ुद-रफ़्ता
ज़माने की जो ख़बर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
ख़जिल हैं गालों से उन के हमारे दाग़ों से
फ़रोग़-ए-शम्स-ओ-क़मर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
तुम आइने में ये किस नाज़नीं से कहते थे
बग़ौर देख कमर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
शब-ए-मज़ार से कुछ कम नहीं है शाम-ए-फ़िराक़
अगर असीर-ए-सहर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
वो गाली देंगे तो बोसा 'शरफ़' मैं ले लूँगा
लिहाज़-ए-पास अगर वाँ नहीं तो याँ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf
our suggestion based on Agha Hajju Sharaf
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari