tiri havas mein jo dil se poocha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye | तिरी हवस में जो दिल से पूछा निकल के घर से किधर को चलिए

  - Agha Hajju Sharaf

tiri havas mein jo dil se poocha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye
tadap ke bola jidhar vo nikle shitaab usi raahguzaar ko chaliye

na chahiye kuchh adam ko le kar nikliye hasti se jaan de kar
safar jo lijye rah-e-khuda mein luta ke zaad-e-safar ko chaliye

azal se us ka hi aasraa hai jo dene waala muraadon ka hai
baraae-fil-faur umeed-e-dil ko jo choomne us ke dar ko chaliye

idhar to taqdeer so rahi hai udhar vo naabood ho rahi hai
visaal ki shab ko ro jo chukiye to rone sham-e-sehr ko chaliye

jo haath ik phool ko lagaayein yaqeen hai kaanton mein kheeche jaayen
hamaare haq mein vo hove hanjzal jo nosh karne samar ko chaliye

ajeeb mushkil hai aah ai dil kathin hai beem-o-raja ki manzil
qadam qadam par ye sochte hain kidhar na chaliye kidhar ko chaliye

tiri judaai mein jaan-e-aalam kiya hai dono ko gham ne be-dam
banaaiye ja ke dil ki turbat ki dafn karne jigar ko chaliye

hua hai vo shauq-e-deed-baazi ki samjhen is ko bhi sarfaraazi
bulaaein aankhen vo fodne ko to nazr karne nazar ko chaliye

visaal ki shab guzar gai hai jo aarzoo thi vo mar gai hai
hamein to hichki lagi hui hai vo fikr mein hain ki ghar ko chaliye

ye qaaf se qaaf tak hai shohrat karenge vo imtihaan-e-wahshat
junoon ka aalam ye kah raha hai yahin se takraate sar ko chaliye

jo subh-e-peeri hui huwaida sada adam se hui ye paida
namaaz padh ke na ab thehriye savere kasiye kamar ko chaliye

luta hai gulshan mein aashiyana kahi hamaara nahin thikaana
qafas se chhut kar bhadak rahe hain ki tinke chunne kidhar ko chaliye

kami na dard-e-jigar mein hogi ye ham se aisi ne guftugoo ki
dava ko phir dhundiyega pehle talash karne asar ko chaliye

hamesha har saans ne hamaari shab-e-judaai mein aarzoo ki
kisi tarah se tire chaman mein naseem ho kar sehar ko chaliye

charaagh-e-bazm-e-khuda hua hai khuda ne mehboob use kaha hai
ye shaam se lau lagi hai dil ko ki dekhne us bashar ko chaliye

hamaara aansu vo be-baha hai nigaah-e-hasrat mein jach raha hai
manga ke ab us pe chauraahe mein nisaar karne guhar ko chaliye

soo-e-falak kijeye roo-e-taabaa'n ki chaudahveen shab pe hai ye naazaan
dikha ke husn-e-shabaab apna chakor karne qamar ko chaliye

kisi tarah se na hone paaye hamaare naalon ka faash parda
agarche shor-e-fughaan ka apne shareek karne gajr ko chaliye

sharf jo ham un pe jaan denge khabar hamaari lahd mein lenge
hila ke shaana jala ke ham ko kaheinge uthiye bhi ghar ko chaliye

तिरी हवस में जो दिल से पूछा निकल के घर से किधर को चलिए
तड़प के बोला जिधर वो निकले शिताब उसी रहगुज़र को चलिए

न चाहिए कुछ अदम को ले कर निकलिए हस्ती से जान दे कर
सफ़र जो लीजे रह-ए-ख़ुदा में लुटा के ज़ाद-ए-सफ़र को चलिए

अज़ल से उस का ही आसरा है जो देने वाला मुरादों का है
बराए-फ़िल-फ़ौर उमीद-ए-दिल को जो चूमने उस के दर को चलिए

इधर तो तक़दीर सो रही है उधर वो नाबूद हो रही है
विसाल की शब को रो जो चुकिए तो रोने शम-ए-सहर को चलिए

जो हाथ इक फूल को लगाएँ यक़ीं है काँटों में खींचे जाएँ
हमारे हक़ में वो होवे हंज़ल जो नोश करने समर को चलिए

अजीब मुश्किल है आह ऐ दिल कठिन है बीम-ओ-रजा की मंज़िल
क़दम क़दम पर ये सोचते हैं किधर न चलिए किधर को चलिए

तिरी जुदाई में जान-ए-आलम किया है दोनों को ग़म ने बे-दम
बनाइए जा के दिल की तुर्बत कि दफ़्न करने जिगर को चलिए

हुआ है वो शौक़-ए-दीद-बाज़ी कि समझें इस को भी सरफ़राज़ी
बुलाएँ आँखें वो फोड़ने को तो नज़्र करने नज़र को चलिए

विसाल की शब गुज़र गई है जो आरज़ू थी वो मर गई है
हमें तो हिचकी लगी हुई है वो फ़िक्र में हैं कि घर को चलिए

ये क़ाफ़ से क़ाफ़ तक है शोहरत करेंगे वो इम्तिहान-ए-वहशत
जुनूँ का आलम ये कह रहा है यहीं से टकराते सर को चलिए

जो सुब्ह-ए-पीरी हुई हुवैदा सदा अदम से हुई ये पैदा
नमाज़ पढ़ के न अब ठहरिए सवेरे कसिए कमर को चलिए

लुटा है गुलशन में आशियाना कहीं हमारा नहीं ठिकाना
क़फ़स से छुट कर भड़क रहे हैं कि तिनके चुनने किधर को चलिए

कमी न दर्द-ए-जिगर में होगी ये हम से ऐसी ने गुफ़्तुगू की
दवा को फिर ढूँडिएगा पहले तलाश करने असर को चलिए

हमेशा हर साँस ने हमारी शब-ए-जुदाई में आरज़ू की
किसी तरह से तिरे चमन में नसीम हो कर सहर को चलिए

चराग़-ए-बज़्म-ए-ख़ुदा हुआ है ख़ुदा ने महबूब उसे कहा है
ये शाम से लौ लगी है दिल को कि देखने उस बशर को चलिए

हमारा आँसू वो बे-बहा है निगाह-ए-हसरत में जच रहा है
मँगा के अब उस पे चौरहे में निसार करने गुहर को चलिए

सू-ए-फ़लक कीजे रू-ए-ताबाँ कि चौदहवीं शब पे है ये नाज़ाँ
दिखा के हुस्न-ए-शबाब अपना चकोर करने क़मर को चलिए

किसी तरह से न होने पाए हमारे नालों का फ़ाश पर्दा
अगरचे शोर-ए-फ़ुग़ाँ का अपने शरीक करने गजर को चलिए

'शरफ़' जो हम उन पे जान देंगे ख़बर हमारी लहद में लेंगे
हिला के शाना जला के हम को कहेंगे उठिए भी घर को चलिए

  - Agha Hajju Sharaf

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari