sannaate ka aalam qabr mein hai hai khwaab-e-adam aaraam nahin | सन्नाटे का आलम क़ब्र में है है ख़्वाब-ए-अदम आराम नहीं - Agha Hajju Sharaf

sannaate ka aalam qabr mein hai hai khwaab-e-adam aaraam nahin
imkaan-e-numood-e-subh nahin ummeed-e-charaagh-e-shaam nahin

dil naame ke shak le purze kiya ai waaye naseebe ka ye likha
peshaani par un ki mohr nahin sar-naame pe mera naam nahin

jaate hain jo ujde zinda chaman is baag-e-jahaan ki wajh ye hai
gulzaar ye jis gulfam ka hai us baagh mein vo gulfam nahin

bich jaayenge bulbul aa ke hazaaron toot padenge jaal ye hai
sayyaad gulaabi pahne hai kapde chaadar-e-gul hai daam nahin

is najd mein khauf ai leila na kar us gham-zada ki le ja ke khabar
majnoon se tira wahshi hai tira be-chaara koi zirgaam nahin

aagaah kiya hai dil ko hamaare kis ne tumhaari khoobiyo se
insaaf karo munsif ho tumheen phir kya hai jo ye ilhaam nahin

dil dete hi un ko ghulne lage nazaron mein ajal ke tulne lage
aaghaaz-e-mohabbat se ye khula chaahat ka b-khair anjaam nahin

aalam hai ajab geeti-e-adam ka chaar taraf hai aalam-e-hoo
aasaish-e-jaan-o-rooh nahin raahat ka koi hangaam nahin

jaana hai adam ki raah humein hona hai fana-fillaah humein
lete hain yahan dam chand nafs hasti se humein kuch kaam nahin

phir aankh kabhi khulne ki nahin neend aayegi ik din aisi humein
hona hai yahi soche hain jo hum ye khwaab-o-khyaal-e-khaam nahin

chaurang nahin kyun khelte ab kis kushte pe rehm aaya hai tumhein
khoon-reziyon ka kyun shauq nahin kyun zeb-e-kamar samasaam nahin

aqlim-e-khamoshaan se to sada ik gham-zada aati hai ye sada
hain saikron shaahenshaah yahan par hukm nahin ahkaam nahin

duniya mein jo tha taabe tha jahaan maaloom nahin pahuncha vo kahaan
ibarat ka mahal kahte hain ise ab gor mein bhi bahraam nahin

bulbul ki fugaan par khanda-zani gunchon ne jo ki pazmurda hue
sach hai ki hazeen-o-gham-zada ho hansne ka b-khair anjaam nahin

deedaar ke bhooke tere jo hain hai khatm unhin par nafs-kushi
kuch khwaahish-o-fikr-e-faut nahin duniya ke maze se kaam nahin

tum qabr mein kyun uth baithe sharf aaraam karo aaraam karo
yaaraan-e-watan rote hain tumhein kuch hashr nahin kohraam nahin

सन्नाटे का आलम क़ब्र में है है ख़्वाब-ए-अदम आराम नहीं
इम्कान-ए-नुमूद-ए-सुब्ह नहीं उम्मीद-ए-चराग़-ए-शाम नहीं

दिल नामे के शक ले पुर्ज़े किया ऐ वाए नसीबे का ये लिखा
पेशानी पर उन की मोहर नहीं सर-नामे पे मेरा नाम नहीं

जाते हैं जो उजड़े ज़िंदा चमन इस बाग़-ए-जहाँ की वज्ह ये है
गुलज़ार ये जिस गुलफ़म का है उस बाग़ में वो गुलफ़म नहीं

बिछ जाएँगे बुलबुल आ के हज़ारों टूट पड़ेंगे जअल ये है
सय्याद गुलाबी पहने है कपड़े चादर-ए-गुल है दाम नहीं

इस नज्द में ख़ौफ़ ऐ लैला न कर उस ग़म-ज़दा की ले जा के ख़बर
मजनूँ से तिरा वहशी है तिरा बे-चारा कोई ज़िरग़ाम नहीं

आगाह किया है दिल को हमारे किस ने तुम्हारी ख़ूबियों से
इंसाफ़ करो मुंसिफ़ हो तुम्हीं फिर क्या है जो ये इल्हाम नहीं

दिल देते ही उन को घुलने लगे नज़रों में अजल के तुलने लगे
आग़ाज़-ए-मोहब्बत से ये खुला चाहत का ब-ख़ैर अंजाम नहीं

आलम है अजब गीती-ए-अदम का चार तरफ़ है आलम-ए-हू
आसाइश-ए-जान-ओ-रूह नहीं राहत का कोई हंगाम नहीं

जाना है अदम की राह हमें होना है फ़ना-फ़िल्लाह हमें
लेते हैं यहाँ दम चंद नफ़स हस्ती से हमें कुछ काम नहीं

फिर आँख कभी खुलने की नहीं नींद आएगी इक दिन ऐसी हमें
होना है यही सोचे हैं जो हम ये ख़्वाब-ओ-ख़याल-ए-ख़ाम नहीं

चौरंग नहीं क्यूँ खेलते अब किस कुश्ते पे रहम आया है तुम्हें
ख़ूँ-रेज़ियों का क्यूँ शौक़ नहीं क्यूँ ज़ेब-ए-कमर समसाम नहीं

अक़्लीम-ए-ख़मोशाँ से तो सदा इक ग़म-ज़दा आती है ये सदा
हैं सैकड़ों शाहंशाह यहाँ पर हुक्म नहीं अहकाम नहीं

दुनिया में जो था ताबे था जहाँ मालूम नहीं पहुँचा वो कहाँ
इबरत का महल कहते हैं इसे अब गोर में भी बहराम नहीं

बुलबुल की फ़ुग़ाँ पर ख़ंदा-ज़नी ग़ुंचों ने जो की पज़मुर्दा हुए
सच है कि हज़ीन-ओ-ग़म-ज़दा हो हँसने का ब-ख़ैर अंजाम नहीं

दीदार के भूके तेरे जो हैं है ख़त्म उन्हीं पर नफ़स-कुशी
कुछ ख़्वाहिश-ओ-फ़िक्र-ए-फ़ौत नहीं दुनिया के मज़े से काम नहीं

तुम क़ब्र में क्यूँ उठ बैठे 'शरफ़' आराम करो आराम करो
यारान-ए-वतन रोते हैं तुम्हें कुछ हश्र नहीं कोहराम नहीं

- Agha Hajju Sharaf
0 Likes

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari