havas gulzaar ki misl-e-anaadil hum bhi rakhte the | हवस गुलज़ार की मिस्ल-ए-अनादिल हम भी रखते थे - Agha Hajju Sharaf

havas gulzaar ki misl-e-anaadil hum bhi rakhte the
kabhi tha shauq-e-gul hum ko kabhi dil hum bhi rakhte the

qaza bhi tere haathon chahte the tujh ko kya kijeye
nahin to tegh-e-dam ke saath qaateel hum bhi rakhte the

khata-e-ishq par hum par na itna bhi sitam dhaao
agar chaaha to chaaha kya hua dil hum bhi rakhte the

khuda ko ilm hai zinda hai ya jal-bhun gaya shab ko
dil apna tere parvaanon mein shaamil hum bhi rakhte the

meri jaan-baaziyo'n par gor mein rustam ye kehta hai
na the aise zaree go sher ka dil hum bhi rakhte the

ilaqa ishq ka lete ye soche honge barbaadi
vagarna naqd-e-jaan o sikkaa-e-dil hum bhi rakhte the

khuda ke saamne hogi jo pursish ishq-baazon ki
kaheinge hum bhi itna ishq-e-kaamil hum bhi rakhte the

tamannaa thi humein bhi teri sohbat dekh lene ki
ki parwaane the shauq-o-zauq-e-mahfil hum bhi rakhte the

bade uqda-kusha the tum to hal is ko bhi karna tha
muhimm-e-ishq sar karne ki mushkil hum bhi rakhte the

talaash-e-yaar mein kufiya gaye ushshaq duniya se
khabar bhi ki na hum ko shauq-e-manzil hum bhi rakhte the

koi lahza judaai mein tadapne se na furqat thi
kabhi pahluu mein dil maanind-e-bismil hum bhi rakhte the

junoon ka zor tha dil mein jagah kar li thi vehshat ne
garz peshe-e-nazar leila o mahmil hum bhi rakhte the

jagah dil ki tarah pahluu mein di hoti humein tum ne
liyaqat is sar-afraazi ke qaabil hum bhi rakhte the

use kyunkar na kahte hum ki yaktaa hai khudaai mein
shanaasa the tameez-e-haqq-o-baatil hum bhi rakhte the

khuda ne jaan chhudvaai sharf vo khud bigad baitha
haqeeqat mein ajab maashooq-e-jaahil hum bhi rakhte the

हवस गुलज़ार की मिस्ल-ए-अनादिल हम भी रखते थे
कभी था शौक़-ए-गुल हम को कभी दिल हम भी रखते थे

क़ज़ा भी तेरे हाथों चाहते थे तुझ को क्या कीजे
नहीं तो तेग़-ए-दम के साथ क़ातिल हम भी रखते थे

ख़ता-ए-इश्क़ पर हम पर न इतना भी सितम ढाओ
अगर चाहा तो चाहा क्या हुआ दिल हम भी रखते थे

ख़ुदा को इल्म है ज़िंदा है या जल-भुन गया शब को
दिल अपना तेरे परवानों में शामिल हम भी रखते थे

मिरी जाँ-बाज़ियों पर गोर में रुस्तम ये कहता है
न थे ऐसे जरी गो शेर का दिल हम भी रखते थे

इलाक़ा इश्क़ का लेते ये सोचे होंगे बर्बादी
वगर्ना नक़्द-ए-जान ओ सिक्का-ए-दिल हम भी रखते थे

ख़ुदा के सामने होगी जो पुर्सिश इश्क़-बाज़ों की
कहेंगे हम भी इतना इश्क़-ए-कामिल हम भी रखते थे

तमन्ना थी हमें भी तेरी सोहबत देख लेने की
कि परवाने थे शौक़-ओ-ज़ौक़-ए-महफ़िल हम भी रखते थे

बड़े उक़्दा-कुशा थे तुम तो हल इस को भी करना था
मुहिम्म-ए-इश्क़ सर करने की मुश्किल हम भी रखते थे

तलाश-ए-यार में ख़ुफ़िया गए उश्शाक़ दुनिया से
ख़बर भी की न हम को शौक़-ए-मंज़िल हम भी रखते थे

कोई लहज़ा जुदाई में तड़पने से न फ़ुर्सत थी
कभी पहलू में दिल मानिंद-ए-बिस्मिल हम भी रखते थे

जुनूँ का ज़ोर था दिल में जगह कर ली थी वहशत ने
ग़रज़ पेश-ए-नज़र लैला ओ महमिल हम भी रखते थे

जगह दिल की तरह पहलू में दी होती हमें तुम ने
लियाक़त इस सर-अफ़राज़ी के क़ाबिल हम भी रखते थे

उसे क्यूँकर न कहते हम कि यकता है ख़ुदाई में
शनासा थे तमीज़-ए-हक़्क़-ओ-बातिल हम भी रखते थे

ख़ुदा ने जान छुड़वाई 'शरफ़' वो ख़ुद बिगड़ बैठा
हक़ीक़त में अजब माशूक़-ए-जाहिल हम भी रखते थे

- Agha Hajju Sharaf
0 Likes

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari