tire vaaste jaan pe kheleinge hum ye samaai hai dil mein khuda ki qasam | तिरे वास्ते जान पे खेलेंगे हम ये समाई है दिल में ख़ुदा की क़सम - Agha Hajju Sharaf

tire vaaste jaan pe kheleinge hum ye samaai hai dil mein khuda ki qasam
rah-e-ishq se ab na hatenge qadam humein apne hi sidq-o-safaa ki qasam

mere purze agarche udaaiyega to gul-e-zakhm se mehkegi ishq ki boo
khinche teg tiri to ragad doon guloo mujhe tere hi jour-o-jafa ki qasam

mera naam jo yaar hai pooch raha main bata doon tujhe jo laqab hai mera
mujhe kahte hain kusht-e-naaz-o-ada tire ghamzaa-e-hosh-rubaa ki qasam

lab-e-gor agarche judaai mein hoon magar aaina-e-dil ki safaai mein hoon
tira mahav khuda ki khudaai mein hoon mujhe apne hi ishq-o-wafaa ki qasam

kiye tum ne jo zulm vo main ne sahe meri aankhon se barson hi ashk bahe
koi ghamzaa-o-ishwaa ab uth na rahe tumhein apne hi naaz-o-ada ki qasam

shab-e-hijr mein aankh jo band hui tiri zulf ki yaad do chand hui
meri saans uljh ke kamand hui mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam

tiri chaal se hashr bapaa jo kiya tire khauf se haal meri ye hua
hui jaati thi rooh badan mein fana mujhe aamad-e-roz-e-jazaa ki qasam

mere haathon mein khoon malo to zara tumheen dekho to rang dikhaata hai kya
karo aaj numood-e-shaheed-e-ada tumhein shokhi-e-rang-e-hina ki qasam

kaha leila ne hai mujhe qais ka gham mere dil ko hai us ke junoon ka alam
nahin chain judaai mein ab koi dam use wahshi-e-be-sar-o-paa ki qasam

tiri bazm ka misl hi yaar nahin ki jinaan mein ye naqsh-o-nigaar nahin
kahi tere chaman se bahaar nahin mujhe baagh-e-iram ki fazaa ki qasam

gham-e-daulat-e-wasl mein ho ke hazeen rah-e-ishq-o-wafaa mein hain khaak-nasheen
havas ab humein jaah-o-hashm ki nahin humein tere hi nashv-o-numa ki qasam

ye dua hai qafas mein baraa-e-chaman ki gulon se khuda na chhudaaye chaman
mujhe rakhti hai zinda hawa-e-chaman gul-o-guncha-o-baad-e-sabaa ki qasam

tira shefta hoon meri tujh mein hai jaan tah-e-tegh na kar mujhe jaan-e-jahaan
mera gusse mein aa ke mita na nishaan tujhe jaah-o-jalaal-e-khudaa ki qasam

ye havas hai ki dard-e-jigar mein marooun jo maseeh bhi aaye to dam na bharoon
kabhi tere siva na ilaaj karoon mujhe tere hi dast-e-shifaa ki qasam

sharf us ne diye humein saikron dam rahe teent saaf se paak hi hum
kahi baat agar to sach hi kahi kabhi jhooth na bole khuda ki qasam

तिरे वास्ते जान पे खेलेंगे हम ये समाई है दिल में ख़ुदा की क़सम
रह-ए-इश्क़ से अब न हटेंगे क़दम हमें अपने ही सिदक़-ओ-सफ़ा की क़सम

मिरे पुर्ज़े अगरचे उड़ाइएगा तो गुल-ए-ज़ख़्म से महकेगी इश्क़ की बू
खिंचे तेग़ तिरी तो रगड़ दूँ गुलू मुझे तेरे ही जौर-ओ-जफ़ा की क़सम

मिरा नाम जो यार है पूछ रहा मैं बता दूँ तुझे जो लक़ब है मिरा
मुझे कहते हैं कुश्त-ए-नाज़-ओ-अदा तिरे ग़म्ज़ा-ए-होश-रुबा की क़सम

लब-ए-गोर अगरचे जुदाई में हूँ मगर आइना-ए-दिल की सफ़ाई में हूँ
तिरा महव ख़ुदा की ख़ुदाई में हूँ मुझे अपने ही इश्क़-ओ-वफ़ा की क़सम

किए तुम ने जो ज़ुल्म वो मैं ने सहे मिरी आँखों से बरसों ही अश्क बहे
कोई ग़म्ज़ा-ओ-इश्वा अब उठ न रहे तुम्हें अपने ही नाज़-ओ-अदा की क़सम

शब-ए-हिज्र में आँख जो बंद हुई तिरी ज़ुल्फ़ की याद दो चंद हुई
मिरी साँस उलझ के कमंद हुई मुझे तेरी ही ज़ुल्फ़-ए-दोता की क़सम

तिरी चाल से हश्र बपा जो किया तिरे ख़ौफ़ से हाल मिरी ये हुआ
हुई जाती थी रूह बदन में फ़ना मुझे आमद-ए-रोज़-ए-जज़ा की क़सम

मिरे हाथों में ख़ून मलो तो ज़रा तुम्हीं देखो तो रंग दिखाता है क्या
करो आज नुमूद-ए-शहीद-ए-अदा तुम्हें शोख़ी-ए-रंग-ए-हिना की क़सम

कहा लैला ने है मुझे क़ैस का ग़म मिरे दिल को है उस के जुनूँ का अलम
नहीं चैन जुदाई में अब कोई दम उसे वहशी-ए-बे-सर-ओ-पा की क़सम

तिरी बज़्म का मिस्ल ही यार नहीं कि जिनाँ में ये नक़्श-ओ-निगार नहीं
कहीं तेरे चमन से बहार नहीं मुझे बाग़-ए-इरम की फ़ज़ा की क़सम

ग़म-ए-दौलत-ए-वस्ल में हो के हज़ीं रह-ए-इश्क़-ओ-वफ़ा में हैं ख़ाक-नशीं
हवस अब हमें जाह-ओ-हशम की नहीं हमें तेरे ही नश्व-ओ-नुमा की क़सम

ये दुआ है क़फ़स में बरा-ए-चमन कि गुलों से ख़ुदा न छुड़ाए चमन
मुझे रखती है ज़िंदा हवा-ए-चमन गुल-ओ-ग़ुंचा-ओ-बाद-ए-सबा की क़सम

तिरा शेफ़्ता हूँ मिरी तुझ में है जाँ तह-ए-तेग़ न कर मुझे जान-ए-जहाँ
मिरा ग़ुस्से में आ के मिटा न निशाँ तुझे जाह-ओ-जलाल-ए-ख़ुदा की क़सम

ये हवस है कि दर्द-ए-जिगर में मरूँ जो मसीह भी आए तो दम न भरूँ
कभी तेरे सिवा न इलाज करूँ मुझे तेरे ही दस्त-ए-शिफ़ा की क़सम

शरफ़ उस ने दिये हमें सैकड़ों दम रहे तीनत साफ़ से पाक ही हम
कही बात अगर तो सच ही कही कभी झूट न बोले ख़ुदा की क़सम

- Agha Hajju Sharaf
0 Likes

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari