jawaani aayi muraad par jab umang jaati rahi bashar ki | जवानी आई मुराद पर जब उमंग जाती रही बशर की - Agha Hajju Sharaf

jawaani aayi muraad par jab umang jaati rahi bashar ki
naseeb hote hi chaudahveen shab shikoh ruksat hui qamar ki

vo shokh chitwan thi kis sitam ki ki jis ne chashmak kahi na kam ki
kisi taraf ko jo barq chamki to samjhe gardish use nazar ki

tira hi duniya mein hai fasana tira hi shaidai hai zamaana
tire hi gham mein hui ravana nikal ke roohen khudaai bhar ki

na aasmaan hai na vo zameen hai makaan nahin vo jahaan makeen hai
payambaron ka guzar nahin hai rasai hai mere nama-bar ki

khincha jo tool-e-shab-e-judaai andheri madfan ki yaad aayi
nigaah o dil par vo yaas chhaai umeed jaati rahi sehar ki

jo ishq-baazon ko aazmaaya laga ke churiyaan ye qahar dhaaya
yahan yahan tak lahu bahaaya ki naubat aayi kamar kamar ki

gire jo kuch surkh gul zameen par kaha ye bulbul ne khaak uda kar
hua hai wa'da mera barabar ye sooraten hain mere jigar ki

maqaam-e-ibrat hai aah ai dil khuda hi ki hai panaah ai dil
nahin hai kuch zaad-e-raah ai dil adam se taakeed hai safar ki

ye hum ne kaisa safar kiya hai musafiron ko rula diya hai
ajal ne aaghosh mein liya hai khabar bhi hum ko nahin safar ki

vo jald ya-rab inheen ko taake laga de do teer in par aa ke
ye dono rah jaayen farfarahaa ke main dekhoon laashein dil o jigar ki

kisi ka maashooq chhoota hai sehar ka waqt us ko lootata hai
koi ye seene ko kootaa hai nahin hai awaaz ye gajr ki

kichha hai zartaar shaamiyaana gulon se aati hai boo shaahana
dikha ke qudrat ka kaarkhaana lahd ne hasrat bhula di ghar ki

ghashi ka aalam vo zor par hai mizaaj-e-sehhat se be-khabar hai
dava ka ghaflat-zada asar hai khabar dava ko nahin asar ki

shabaab ne khud-numa banaya ye naaz-e-khushrui ne jataaya
haya mein jis waqt farq aaya to un ke mukhde se zulf sarki

hua hoon chaurang tegh-e-hasrat ki dafn ki hai meri ye soorat
kisi taraf ko hai dil ki turbat kahi hai turbat mere jigar ki

jo us ne zid ki to aafat aayi duhaai dene lagi khudaai
qayamat us bewafa ne dhaai idhar ki duniya sharf udhar ki

जवानी आई मुराद पर जब उमंग जाती रही बशर की
नसीब होते ही चौदहवीं शब शिकोह रुख़्सत हुई क़मर की

वो शोख़ चितवन थी किस सितम की कि जिस ने चश्मक कहीं न कम की
किसी तरफ़ को जो बर्क़ चमकी तो समझे गर्दिश उसे नज़र की

तिरा ही दुनिया में है फ़साना तिरा ही शैदाई है ज़माना
तिरे ही ग़म में हुईं रवाना निकल के रूहें ख़ुदाई भर की

न आसमाँ है न वो ज़मीं है मकाँ नहीं वो जहाँ मकीं है
पयम्बरों का गुज़र नहीं है रसाई है मेरे नामा-बर की

खिंचा जो तूल-ए-शब-ए-जुदाई अँधेरी मदफ़न की याद आई
निगाह ओ दिल पर वो यास छाई उमीद जाती रही सहर की

जो इश्क़-बाज़ों को आज़माया लगा के छुरियाँ ये क़हर ढाया
यहाँ यहाँ तक लहू बहाया कि नौबत आई कमर कमर की

गिरे जो कुछ सुर्ख़ गुल ज़मीं पर कहा ये बुलबुल ने ख़ाक उड़ा कर
हुआ है वा'दा मिरा बराबर ये सूरतें हैं मिरे जिगर की

मक़ाम-ए-इबरत है आह ऐ दिल ख़ुदा ही की है पनाह ऐ दिल
नहीं है कुछ ज़ाद-ए-राह ऐ दिल अदम से ताकीद है सफ़र की

ये हम ने कैसा सफ़र किया है मुसाफ़िरों को रुला दिया है
अजल ने आग़ोश में लिया है ख़बर भी हम को नहीं सफ़र की

वो जल्द या-रब इन्हीं को ताके लगा दे दो तीर इन पर आ के
ये दोनों रह जाएँ फड़फड़ा के मैं देखूँ लाशें दिल ओ जिगर की

किसी का माशूक़ छूटता है सहर का वक़्त उस को लूटता है
कोई ये सीने को कूटता है नहीं है आवाज़ ये गजर की

खिचा है ज़रतार शामियाना गुलों से आती है बू शहाना
दिखा के क़ुदरत का कारख़ाना लहद ने हसरत भुला दी घर की

ग़शी का आलम वो ज़ोर पर है मिज़ाज-ए-सेहहत से बे-ख़बर है
दवा का ग़फ़लत-ज़दा असर है ख़बर दवा को नहीं असर की

शबाब ने ख़ुद-नुमा बनाया ये नाज़-ए-ख़ूशरुई ने जताया
हया में जिस वक़्त फ़र्क़ आया तो उन के मुखड़े से ज़ुल्फ़ सरकी

हुआ हूँ चौरंग तेग़-ए-हसरत कि दफ़्न की है मिरी ये सूरत
किसी तरफ़ को है दिल की तुर्बत कहीं है तुर्बत मिरे जिगर की

जो उस ने ज़िद की तो आफ़त आई दुहाई देने लगी ख़ुदाई
क़यामत उस बेवफ़ा ने ढाई इधर की दुनिया 'शरफ़' उधर की

- Agha Hajju Sharaf
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari