raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein
base rahte hain jaise phool apni apni nikhat mein
kichha husn-e-wafa ho kar jo ye tasveer-e-wahdat mein
khuda ka noor shaamil ho gaya insaan ki soorat mein
nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat mein
khuda-maaloom hissa hai mera kis khwaan-e-nemat mein
safai-rukh badhi aisi hua aaina hairat mein
jawaani mein nazar aane laga munh us ki soorat mein
faloon fooloonga main duniya se ja kar baagh-e-jannat mein
azal se parvarish hota hoon main gulzaar-e-rehmat mein
mahall-e-ishq mein jo khoon mushtaakon ka bahta hai
hua karti hain rang-aameziyaan us ki imarat mein
karo aisi adaayein ham se ham tasveer ho jaayen
rahein ham aur tum ik jaan do qaaleb ho ke khilwat mein
mili hai meri qismat se mujhe nemat tawakkul ki
jo marghoob-e-khuda hain vo maze hain us ki lazzat mein
khudaai vajd karti hai jahaan main chahchahaata hoon
hazaaron mein hoon ik bulbul tire gulzaar-e-qudrat mein
namaaz-e-panjgaana mein bhi har ja zikr usi ka hai
tashahhud mein azaan mein sajde mein niyyat mein rakat mein
machal jaane par us na-fahm ke rehm us ko aaya hai
liya hai mere tifl-e-ashk ko daaman-e-rahmat mein
dil-aazaari ka ham-soorat se apne mashwara lenge
ilaahi khair aaina talab hota hai khilwat mein
mare par bhi sharf ki dono aankhen dabdabaati hain
khuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat mein
रहा करते हैं यूँ उश्शाक़ तेरी याद ओ हसरत में
बसे रहते हैं जैसे फूल अपनी अपनी निकहत में
खिचा हुस्न-ए-वफ़ा हो कर जो ये तस्वीर-ए-वहदत में
ख़ुदा का नूर शामिल हो गया इंसाँ की सूरत में
नहीं है लज़्ज़त-ए-दुनिया ओ मा-फ़ीहा जो क़िस्मत में
ख़ुदा-मालूम हिस्सा है मिरा किस ख़्वान-ए-नेमत में
सफ़ाई-रुख़ बढ़ी ऐसी हुआ आईना हैरत में
जवानी में नज़र आने लगा मुँह उस की सूरत में
फलूँ फूलूँगा मैं दुनिया से जा कर बाग़-ए-जन्नत में
अज़ल से परवरिश होता हूँ मैं गुलज़ार-ए-रहमत में
महल्ल-ए-इश्क़ में जो ख़ून मुश्ताक़ों का बहता है
हुआ करती हैं रंग-आमेज़ियाँ उस की इमारत में
करो ऐसी अदाएँ हम से हम तस्वीर हो जाएँ
रहें हम और तुम इक जाँ दो क़ालिब हो के ख़ल्वत में
मिली है मेरी क़िस्मत से मुझे नेमत तवक्कुल की
जो मर्ग़ूब-ए-ख़ुदा हैं वो मज़े हैं उस की लज़्ज़त में
ख़ुदाई वज्द करती है जहाँ मैं चहचहाता हूँ
हज़ारों में हूँ इक बुलबुल तिरे गुलज़ार-ए-क़ुदरत में
नमाज़-ए-पँजगाना में भी हर जा ज़िक्र उसी का है
तशह्हुद में अज़ाँ में सज्दे में निय्यत में रकअत में
मचल जाने पर उस ना-फ़हम के रहम उस को आया है
लिया है मेरे तिफ़्ल-ए-अश्क को दामान-ए-रहमत में
दिल-आज़ारी का हम-सूरत से अपने मशवरा लेंगे
इलाही ख़ैर आईना तलब होता है ख़ल्वत में
मरे पर भी 'शरफ़' की दोनों आँखें डबडबाती हैं
ख़ुदा जाने कि दम निकला है उन का किस की हसरत में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf
our suggestion based on Agha Hajju Sharaf
As you were reading Environment Shayari Shayari