aalam mein hare honge ashjaar jo main roya
gulchein nahin seenchenge gulzaar jo main roya
barsega jo abr aa kar khul jaayega dam bhar mein
aansu nahin thamne ke ai yaar jo main roya
rooge jharoke mein tum hichakiyaan le le kar
ai yaar kabhi zer-e-deewar jo main roya
zakhmi hoon to hone do kyun yaar bisoorun main
kya baat rahi kha kar talwaar jo main roya
hoon mustaid-e-riqqat farhaad mujhe bahla
le doobenge tujh ko bhi kohsaar jo main roya
majnoon ne kaha jaao vehshat unhen dikhlaao
baitha hua sehra mein be-kaar jo main roya
rehm aa hi gaya un ko katwa de meri bedi
zindaan mein chillaa kar ik baar jo main roya
ki gusse ke maare phir us ne na nigaah seedhi
in ankhadiyon ka ho kar beemaar jo main roya
betaabi o zaari par meri unhen rehm aaya
dikhla hi diya mujh ko deedaar jo main roya
aaraam vo karte hain rulva na mujhe ai dil
thehrenge na vo ho kar bedaar jo main roya
aaye the b-mushkil vo laaye the sharf un ko
phir uth gaye vo ho kar bedaar jo main roya
आलम में हरे होंगे अश्जार जो मैं रोया
गुलचीं नहीं सींचेंगे गुलज़ार जो मैं रोया
बरसेगा जो अब्र आ कर खुल जाएगा दम भर में
आँसू नहीं थमने के ऐ यार जो मैं रोया
रोओगे झरोके में तुम हिचकियाँ ले ले कर
ऐ यार कभी ज़ेर-ए-दीवार जो मैं रोया
ज़ख़्मी हूँ तो होने दो क्यूँ यार बिसोरूँ मैं
क्या बात रही खा कर तलवार जो मैं रोया
हूँ मुस्तइद-ए-रिक़्क़त फ़रहाद मुझे बहला
ले डूबेंगे तुझ को भी कोहसार जो मैं रोया
मजनूँ ने कहा जाओ वहशत उन्हें दिखलाओ
बैठा हुआ सहरा में बे-कार जो मैं रोया
रहम आ ही गया उन को कटवा दे मिरी बेड़ी
ज़िंदान में चिल्ला कर इक बार जो मैं रोया
की ग़ुस्से के मारे फिर उस ने न निगह सीधी
इन अँखड़ियों का हो कर बीमार जो मैं रोया
बेताबी ओ ज़ारी पर मेरी उन्हें रहम आया
दिखला ही दिया मुझ को दीदार जो मैं रोया
आराम वो करते हैं रुलवा न मुझे ऐ दिल
ठहरेंगे न वो हो कर बेदार जो मैं रोया
आए थे ब-मुश्किल वो लाए थे 'शरफ़' उन को
फिर उठ गए वो हो कर बेदार जो मैं रोया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf
our suggestion based on Agha Hajju Sharaf
As you were reading Qaid Shayari Shayari