chaahiyein mujh ko nahin zarrein qafas ki putliyaan | चाहिएँ मुझ को नहीं ज़र्रीं क़फ़स की पुतलियाँ

  - Agha Hajju Sharaf

chaahiyein mujh ko nahin zarrein qafas ki putliyaan
aashiyaan jaanoon jo hovein khaar-o-khas ki putliyaan

ho gaeein be-rang jab agle baras ki putliyaan
khoon ro kar ham ne keen rangeen qafas ki putliyaan

hai ye faulaadi qafas mujh na-tawan ka kya karoon
kis tarah todoo nahin hain mere bas ki putliyaan

kya khuda ki shaan hai aati hai jab fasl-e-bahaar
sab hari ho jaati hain mere qafas ki putliyaan

jab kabhi kunj-e-qafas mein ki hai main ne aah-e-garm
mom ho kar bah gai hain pesh-o-pas ki putliyaan

ghar qafas ko main samajhta hoon aseeri ko muraad
jaanta hoon apni aahon ko havas ki putliyaan

patriyaan mere qafas ki shaakh-e-gul se kam nahin
loch ye dekha na dekheen aisi ras ki putliyaan

goonjne lagta hai ye bhi jab fugaan karta hoon main
nasb hain mere qafas mein kya jars ki putliyaan

dekhiye shauq-e-aseeri mein jakadne ke liye
ho gaeein resham ka lachchaa sab qafas ki putliyaan

ro rahi hai dekh kar leila jo us ko ai sharf
pasliyaan majnoon ki hain mere qafas ki putliyaan

चाहिएँ मुझ को नहीं ज़र्रीं क़फ़स की पुतलियाँ
आशियाँ जानूँ जो होवें ख़ार-ओ-ख़स की पुतलियाँ

हो गईं बे-रंग जब अगले बरस की पुतलियाँ
ख़ून रो कर हम ने कीं रंगीं क़फ़स की पुतलियाँ

है ये फ़ौलादी क़फ़स मुझ ना-तवाँ का क्या करूँ
किस तरह तोड़ूँ नहीं हैं मेरे बस की पुतलियाँ

क्या ख़ुदा की शान है आती है जब फ़स्ल-ए-बहार
सब हरी हो जाती हैं मेरे क़फ़स की पुतलियाँ

जब कभी कुंज-ए-क़फ़स में की है मैं ने आह-ए-गर्म
मोम हो कर बह गई हैं पेश-ओ-पस की पुतलियाँ

घर क़फ़स को मैं समझता हूँ असीरी को मुराद
जानता हूँ अपनी आहों को हवस की पुतलियाँ

पटरियाँ मेरे क़फ़स की शाख़-ए-गुल से कम नहीं
लोच ये देखा न देखीं ऐसी रस की पुतलियाँ

गूँजने लगता है ये भी जब फ़ुग़ाँ करता हूँ मैं
नस्ब हैं मेरे क़फ़स में क्या जरस की पुतलियाँ

देखिए शौक़-ए-असीरी में जकड़ने के लिए
हो गईं रेशम का लच्छा सब क़फ़स की पुतलियाँ

रो रही है देख कर लैला जो उस को ऐ 'शरफ़'
पसलियाँ मजनूँ की हैं मेरे क़फ़स की पुतलियाँ

  - Agha Hajju Sharaf

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari