ratjagon ki saltanat taskheer kar | रतजगों की सल्तनत तस्ख़ीर कर

  - Ahmad Ameer Pasha

ratjagon ki saltanat taskheer kar
kuchh diye ka naam bhi tahreer kar

hai hisaar-e-zaat ke baahar shikast
tu mere andar mujhe ta'aamir kar

furqaton ka zahar mujh ko pach gaya
gardish-e-dauraan meri tauqeer kar

ya badan ki qaid se azaad kar
ya kisi gham se mujhe zanjeer kar

khwaab aankhon mein agar rakhe hain tu
phir hatheli par bhi kuchh tahreer kar

kuchh diye ke dukh suna mujh ko ameer
kuchh hawa ke naam bhi tahreer kar

रतजगों की सल्तनत तस्ख़ीर कर
कुछ दिए का नाम भी तहरीर कर

है हिसार-ए-ज़ात के बाहर शिकस्त
तू मिरे अंदर मुझे ता'मीर कर

फुर्क़तों का ज़हर मुझ को पच गया
गर्दिश-ए-दौराँ मिरी तौक़ीर कर

या बदन की क़ैद से आज़ाद कर
या किसी ग़म से मुझे ज़ंजीर कर

ख़्वाब आँखों में अगर रक्खे हैं तू
फिर हथेली पर भी कुछ तहरीर कर

कुछ दिए के दुख सुना मुझ को 'अमीर'
कुछ हवा के नाम भी तहरीर कर

  - Ahmad Ameer Pasha

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ameer Pasha

As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari