waqt se aage nikalna chahiye
ham ko ab paani pe chalna chahiye
is se aage zindagi aasaan hai
girne waalon ko sambhalna chahiye
aankh dast-e-aarzoo ho jaaye to
khwaab ko dariya mein palna chahiye
aam ho kuchh to ye karb-e-aagahi
zakham se chashma ubalna chahiye
vo sambhal kar dekhta hai aaina
aaine ko bhi sambhalna chahiye
dhoop mein ho barf-baari to ameer
sang ko sheesha ugalnaa chahiye
वक़्त से आगे निकलना चाहिए
हम को अब पानी पे चलना चाहिए
इस से आगे ज़िंदगी आसान है
गिरने वालों को सँभलना चाहिए
आँख दश्त-ए-आरज़ू हो जाए तो
ख़्वाब को दरिया में पलना चाहिए
आम हो कुछ तो ये कर्ब-ए-आगही
ज़ख़्म से चश्मा उबलना चाहिए
वो सँभल कर देखता है आइना
आइने को भी सँभलना चाहिए
धूप में हो बर्फ़-बारी तो 'अमीर'
संग को शीशा उगलना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha
our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha
As you were reading Aam Shayari Shayari