khaamoshi mein hi la-jawaab na tha
muskuraahat ka bhi hisaab na tha
main use harf harf padhta gaya
vo agarche khuli kitaab na tha
ek muddat se so rahe hain log
phir bhi aankhon mein koi khwaab na tha
jheel mein raat bhar tha kya raksaan
tera paikar to zer-e-aab na tha
marne waalon ki thi jazaa ki vaaed
jeene waalon ka ehtisaab na tha
zarf ke imtihaan mein ab ki baar
ek bhi shakhs kaamyaab na tha
yun to behad sakhi tha dil ka ameer
vo magar saahib-e-nisaab na tha
ख़ामुशी में ही ला-जवाब न था
मुस्कुराहट का भी हिसाब न था
मैं उसे हर्फ़ हर्फ़ पढ़ता गया
वो अगरचे खुली किताब न था
एक मुद्दत से सो रहे हैं लोग
फिर भी आँखों में कोई ख़्वाब न था
झील में रात भर था क्या रक़्साँ
तेरा पैकर तो ज़ेर-ए-आब न था
मरने वालों की थी जज़ा की वईद
जीने वालों का एहतिसाब न था
ज़र्फ़ के इम्तिहाँ में अब की बार
एक भी शख़्स कामयाब न था
यूँ तो बेहद सख़ी था दिल का 'अमीर'
वो मगर साहब-ए-निसाब न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha
our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha
As you were reading Dosti Shayari Shayari