waqt rakhta hai jo sanbhaal ke log
dhundh kar la wahi kamaal ke log
tu ne dekha junoon ke mele mein
kitne shaidai the dhamaal ke log
kaash mar jaaye tu urooj mein hi
muntazir hain tire zawaal ke log
mar gaye aap ghup andhere mein
chaand teri taraf uchaal ke log
yaad ki khushk jheel mein akshar
baithe rahte hain paanv daal ke log
tere dukh mein shareek hone ko
khud ko laaye hain gham mein dhaal ke log
mubtala-e-hazaar-gham hoon magar
hans ke milte hain khaanewaal ke log
वक़्त रखता है जो सँभाल के लोग
ढूँड कर ला वही कमाल के लोग
तू ने देखा जुनूँ के मेले में
कितने शैदाई थे धमाल के लोग
काश मर जाए तू उरूज में ही
मुंतज़िर हैं तिरे ज़वाल के लोग
मर गए आप घुप अंधेरे में
चाँद तेरी तरफ़ उछाल के लोग
याद की ख़ुश्क झील में अक्सर
बैठे रहते हैं पाँव डाल के लोग
तेरे दुख में शरीक होने को
ख़ुद को लाए हैं ग़म में ढाल के लोग
मुब्तला-ए-हज़ार-ग़म हूँ मगर
हँस के मिलते हैं ख़ानेवाल के लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha
our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha
As you were reading Diwangi Shayari Shayari