zard chehron pe shaadmaani de | ज़र्द चेहरों पे शादमानी दे

  - Ahmad Ameer Pasha

zard chehron pe shaadmaani de
harf-e-be-naam ko kahaani de

reza reza bikharta jaata hoon
mujh ko meri koi nishaani de

khauf das jaayega makeenon ko
lafz tiryaaq ko maani de

ai sharaab-e-tahoor ke maalik
pyaase logon ko saada paani de

saari basti ko mat jala maula
bijliyon ko meri nishaani de

jin ko hijrat ne maar daala hai
un ko jeene ka izn-e-saani de

ज़र्द चेहरों पे शादमानी दे
हर्फ़-ए-बे-नाम को कहानी दे

रेज़ा रेज़ा बिखरता जाता हूँ
मुझ को मेरी कोई निशानी दे

ख़ौफ़ डस जाएगा मकीनों को
लफ़्ज़ तिरयाक को मआ'नी दे

ऐ शराब-ए-तहूर के मालिक
प्यासे लोगों को सादा पानी दे

सारी बस्ती को मत जला मौला
बिजलियों को मिरी निशानी दे

जिन को हिजरत ने मार डाला है
उन को जीने का इज़्न-ए-सानी दे

  - Ahmad Ameer Pasha

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ameer Pasha

As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari