mizaan-e-waaqi'at mein tola nahin gaya | मीज़ान-ए-वाक़िआ'त में तोला नहीं गया

  - Ahmad Ameer Pasha

mizaan-e-waaqi'at mein tola nahin gaya
itna vo na-sipaas tha likkha nahin gaya

khushboo ki aarzoo mein saza qaid ki hui
sehra utha ke laaye to poocha nahin gaya

yun bhi main apne baare mein kuchh likh nahin saka
lafzon ka shor aisa tha socha nahin gaya

dono ko fart-e-shauq ne lab-basta kar diya
vo chup raha to ham se bhi bola nahin gaya

qarz-e-firaq main ne mukammal chuka diya
lekin mere hisaab se kaata nahin gaya

kaise bhala fasaane mein sach ki talash ho
lafzon ka her-pher hi pakda nahin gaya

aise safar-naseeb hain pushton se ham ameer
ab tak hamaare paanv ka chaala nahin gaya

मीज़ान-ए-वाक़िआ'त में तोला नहीं गया
इतना वो ना-सिपास था लिक्खा नहीं गया

ख़ुश्बू की आरज़ू में सज़ा क़ैद की हुई
सहरा उठा के लाए तो पूछा नहीं गया

यूँ भी मैं अपने बारे में कुछ लिख नहीं सका
लफ़्ज़ों का शोर ऐसा था सोचा नहीं गया

दोनों को फ़र्त-ए-शौक़ ने लब-बस्ता कर दिया
वो चुप रहा तो हम से भी बोला नहीं गया

क़र्ज़-ए-फ़िराक़ मैं ने मुकम्मल चुका दिया
लेकिन मिरे हिसाब से काटा नहीं गया

कैसे भला फ़साने में सच की तलाश हो
लफ़्ज़ों का हेर-फेर ही पकड़ा नहीं गया

ऐसे सफ़र-नसीब हैं पुश्तों से हम 'अमीर'
अब तक हमारे पाँव का छाला नहीं गया

  - Ahmad Ameer Pasha

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ameer Pasha

As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari