tumhaari tishna-nigaahi ka ehtiraam karein
furaat-e-dast-e-tamanna tumhaare naam karein
ye hijr un ko mila hai unhi ki khwaahish par
ab ahl-e-dard ye jeene ka ehtimaam karein
tumhaari bazm mein kuchh bhi samajh nahin aata
kise ishaara karein aur kise salaam karein
bahut zaroori hai ye dhoop taalne ke liye
shajar laga ke tire falsafe ko aam karein
mukhaalifat bhi maza deti hai agar ham log
mukhaalifat ke usoolon ka ehtiraam karein
tumhaare vasl ki khushiyon mein dil ye karta hai
tumhaare naam par azaad ik ghulaam karein
yahi to pehla sabq hai zamaana-gardi ka
baghal mein le ke chhuri munh mein raam raam karein
hisaar-e-jaan se bahut unchi ho gai hai ameer
faseel-e-jabr girane ka intizaam karein
तुम्हारी तिश्ना-निगाही का एहतिराम करें
फ़ुरात-ए-दश्त-ए-तमन्ना तुम्हारे नाम करें
ये हिज्र उन को मिला है उन्ही की ख़्वाहिश पर
अब अहल-ए-दर्द ये जीने का एहतिमाम करें
तुम्हारी बज़्म में कुछ भी समझ नहीं आता
किसे इशारा करें और किसे सलाम करें
बहुत ज़रूरी है ये धूप टालने के लिए
शजर लगा के तिरे फ़लसफ़े को आम करें
मुख़ालिफ़त भी मज़ा देती है अगर हम लोग
मुख़ालिफ़त के उसूलों का एहतिराम करें
तुम्हारे वस्ल की ख़ुशियों में दिल ये करता है
तुम्हारे नाम पर आज़ाद इक ग़ुलाम करें
यही तो पहला सबक़ है ज़माना-गर्दी का
बग़ल में ले के छुरी मुँह में राम राम करें
हिसार-ए-जाँ से बहुत ऊँची हो गई है 'अमीर'
फ़सील-ए-जब्र गिराने का इंतिज़ाम करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha
our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha
As you were reading One sided love Shayari Shayari