haalaat mere dil ko lagaane nahin dete
aankhon mein tire khwaab sajaane nahin dete
zulmat ke pujaari to bahut tang-nazar hain
jashn-e-shab-e-taareek manaane nahin dete
aankhon pe to bilkul hi koi bas nahin chalta
ham khud ko tiri bazm mein jaane nahin dete
jannat ki duaaein mujhe dete hain sabhi log
is ahad mein jeene ke bahaane nahin dete
nafrat ki rivaayat ke paaband hain lehje
roothe hue logon ko manaane nahin dete
kuchh khwaab meri zaat se badh kar bhi to hain jo
phir dil ko tiri aas lagaane nahin dete
sukhe hue phool aur tire lams ki khushboo
sadma tire jaane ka bhulaane nahin dete
goyaai hai paaband-e-silaasil ki ameer ab
sehra mein bhi awaaz lagaane nahin dete
हालात मिरे दिल को लगाने नहीं देते
आँखों में तिरे ख़्वाब सजाने नहीं देते
ज़ुल्मत के पुजारी तो बहुत तंग-नज़र हैं
जश्न-ए-शब-ए-तारीक मनाने नहीं देते
आँखों पे तो बिल्कुल ही कोई बस नहीं चलता
हम ख़ुद को तिरी बज़्म में जाने नहीं देते
जन्नत की दुआएँ मुझे देते हैं सभी लोग
इस अहद में जीने के बहाने नहीं देते
नफ़रत की रिवायात के पाबंद हैं लहजे
रूठे हुए लोगों को मनाने नहीं देते
कुछ ख़्वाब मिरी ज़ात से बढ़ कर भी तो हैं जो
फिर दिल को तिरी आस लगाने नहीं देते
सूखे हुए फूल और तिरे लम्स की ख़ुश्बू
सदमा तिरे जाने का भुलाने नहीं देते
गोयाई है पाबंद-ए-सलासिल कि 'अमीर' अब
सहरा में भी आवाज़ लगाने नहीं देते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha
our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha
As you were reading Gham Shayari Shayari