mohabbat ko riya ki qaid se azaad karna hai
hamein phir aarzuo ka nagar aabaad karna hai
shikast-e-faash deni hai man-o-too ke ravayyo ko
maraasim ki bahaali ka hunar ijaad karna hai
ye kya jabr-e-ta'alluq hai ki phir tere hawaale se
kisi ko bhool jaana hai kisi ko yaad rakhna hai
guzishta ahad mein bhi jurm tha ye kaar-e-haq-goee
hamaari nasl ko bhi ye b-sad uftaad karna hai
kai deegar hawaale bhi surur-o-raahat-e-dil hain
gaye mausam ki nisbat se tumhein bhi yaad karna hai
hamaare she'r agar jazbon ko khushboo de nahin sakte
to phir to she'r kehna waqt ko barbaad karna hai
मोहब्बत को रिया की क़ैद से आज़ाद करना है
हमें फिर आरज़ुओं का नगर आबाद करना है
शिकस्त-ए-फ़ाश देनी है मन-ओ-तू के रवय्यों को
मरासिम की बहाली का हुनर ईजाद करना है
ये क्या जब्र-ए-तअ'ल्लुक़ है कि फिर तेरे हवाले से
किसी को भूल जाना है किसी को याद रखना है
गुज़िश्ता अहद में भी जुर्म था ये कार-ए-हक़-गोई
हमारी नस्ल को भी ये ब-सद उफ़्ताद करना है
कई दीगर हवाले भी सुरूर-ओ-राहत-ए-दिल हैं
गए मौसम की निस्बत से तुम्हें भी याद करना है
हमारे शे'र अगर जज़्बों को ख़ुश्बू दे नहीं सकते
तो फिर तो शे'र कहना वक़्त को बर्बाद करना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha
our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha
As you were reading Broken Shayari Shayari