zakham ko maat kyun nahin karte | ज़ख़्म को मात क्यूँ नहीं करते - Ahmad Ameer Pasha

zakham ko maat kyun nahin karte
dard khairaat kyun nahin karte

raaste saayein saayein karte hain
raaste baat kyun nahin karte

pyaar karte ho paagalon ki tarah
hasb-e-auqaat kyun nahin karte

ulti seedhi vazaahatein kya hain
soch kar baat kyun nahin karte

ab mulaqaat karna aasaan hai
ab mulaqaat kyun nahin karte

main tumhein jeetne ki dhun mein hoon
tum mujhe maat kyun nahin karte

ज़ख़्म को मात क्यूँ नहीं करते
दर्द ख़ैरात क्यूँ नहीं करते

रास्ते साएँ साएँ करते हैं
रास्ते बात क्यूँ नहीं करते

प्यार करते हो पागलों की तरह
हस्ब-ए-औक़ात क्यूँ नहीं करते

उल्टी सीधी वज़ाहतें क्या हैं
सोच कर बात क्यूँ नहीं करते

अब मुलाक़ात करना आसाँ है
अब मुलाक़ात क्यूँ नहीं करते

मैं तुम्हें जीतने की धुन में हूँ
तुम मुझे मात क्यूँ नहीं करते

- Ahmad Ameer Pasha
0 Likes

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ameer Pasha

As you were reading Shayari by Ahmad Ameer Pasha

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ameer Pasha

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari