vo meri juraat-e-kamyaab se na-waaqif hain
haan wahi log jo girdaab se na-waaqif hain
aisi raatein ki jinhen neend ki lazzat na mili
aisi aankhen jo abhi khwaab se na-waaqif hain
meri kam-goi pe jo tanj kiya karte hain
meri kam-goi ke asbaab se na-waaqif hain
un se kya kijeye tavakko vo hain nau-waarid-e-dasht
dasht-e-vahshat ke jo aadaab se na-waaqif hain
vo jo begaana-e-tehzeeb-o-tamaddun hain vo log
mehfilon ke adab-aadaab se na-waaqif hain
वो मिरी जुराअत-ए-कमयाब से ना-वाक़िफ़ हैं
हाँ वही लोग जो गिर्दाब से ना-वाक़िफ़ हैं
ऐसी रातें कि जिन्हें नींद की लज़्ज़त न मिली
ऐसी आँखें जो अभी ख़्वाब से ना-वाक़िफ़ हैं
मेरी कम-गोई पे जो तंज़ किया करते हैं
मेरी कम-गोई के अस्बाब से ना-वाक़िफ़ हैं
उन से क्या कीजे तवक़्क़ो वो हैं नौ-वारिद-ए-दश्त
दश्त-ए-वहशत के जो आदाब से ना-वाक़िफ़ हैं
वो जो बेगाना-ए-तहज़ीब-ओ-तमद्दुन हैं वो लोग
महफ़िलों के अदब-आदाब से ना-वाक़िफ़ हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq
our suggestion based on Ahmad Ashfaq
As you were reading Chehra Shayari Shayari