ana munh aansuon se dho rahi hai
zaroorat sar-b-sajda ho rahi hai
meri dushman meri be-baak-goi
meri raahon mein kaante bo rahi hai
riya-kaari liye jaati hai subqat
haqeeqat sar jhukaaye ro rahi hai
musalsal ik aziyyat zindagaani
ghamon ke bojh sar par dho rahi hai
zamaana maslahat-parwar hua hai
zaroorat aadmiyyat kho rahi hai
kisi ki shakhsiyat majrooh kar di
zamaane bhar mein shohrat ho rahi hai
अना मुँह आँसुओं से धो रही है
ज़रूरत सर-ब-सज्दा हो रही है
मिरी दुश्मन मिरी बे-बाक-गोई
मिरी राहों में काँटे बो रही है
रिया-कारी लिए जाती है सब्क़त
हक़ीक़त सर झुकाए रो रही है
मुसलसल इक अज़िय्यत ज़िंदगानी
ग़मों के बोझ सर पर ढो रही है
ज़माना मस्लहत-परवर हुआ है
ज़रूरत आदमीय्यत खो रही है
किसी की शख़्सियत मजरूह कर दी
ज़माने भर में शोहरत हो रही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq
our suggestion based on Ahmad Ashfaq
As you were reading Dushman Shayari Shayari