zameen waalon ki basti mein sukoonat chahti hai | ज़मीं वालों की बस्ती में सुकूनत चाहती है - Ahmad Ashfaq

zameen waalon ki basti mein sukoonat chahti hai
meri fitrat sitaaron se ijaazat chahti hai

ajab thehraav paida ho raha hai roz o shab mein
meri vehshat koi taaza aziyyat chahti hai

main tujh ko likhte likhte thak chuka hoon meri duniya
meri tahreer ab thodi si furqat chahti hai

udhar munh-zor maujen dandanati phir rahi hain
magar ik naav dariya se bagaavat chahti hai

ज़मीं वालों की बस्ती में सुकूनत चाहती है
मिरी फ़ितरत सितारों से इजाज़त चाहती है

अजब ठहराव पैदा हो रहा है रोज़ ओ शब में
मिरी वहशत कोई ताज़ा अज़िय्यत चाहती है

मैं तुझ को लिखते लिखते थक चुका हूँ मेरी दुनिया
मिरी तहरीर अब थोड़ी सी फ़ुर्सत चाहती है

उधर मुँह-ज़ोर मौजें दनदनाती फिर रही हैं
मगर इक नाव दरिया से बग़ावत चाहती है

- Ahmad Ashfaq
0 Likes

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ashfaq

As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ashfaq

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari