jitni ham chahte the utni mohabbat nahin di
khwaab to de diye us ne hamein mohlat nahin di
bikta rehta sar-e-bazaar kai qiston mein
shukr hai mere khuda ne mujhe shohrat nahin di
us ki khaamoshi meri raah mein aa baithi hai
main chala jaata magar us ne ijaazat nahin di
ham tire saath tire jaisa ravayya rakhte
dene waale ne magar aisi tabeeyat nahin di
mujh se jo tang hua main ne use chhod diya
us ko khud chhod ke jaane ki bhi zahmat nahin di
ham the mohtaath taalluq mein tawazun rakha
paas-e-ulfat raha had-darja aqeedat nahin di
jis qadar toot ke chaaha use ham ne ashfaaq
us sakhi ne hamein utni bhi to nafrat nahin di
जितनी हम चाहते थे उतनी मोहब्बत नहीं दी
ख़्वाब तो दे दिए उस ने हमें मोहलत नहीं दी
बिकता रहता सर-ए-बाज़ार कई क़िस्तों में
शुक्र है मेरे ख़ुदा ने मुझे शोहरत नहीं दी
उस की ख़ामोशी मिरी राह में आ बैठी है
मैं चला जाता मगर उस ने इजाज़त नहीं दी
हम तिरे साथ तिरे जैसा रवय्या रखते
देने वाले ने मगर ऐसी तबीअत नहीं दी
मुझ से जो तंग हुआ मैं ने उसे छोड़ दिया
उस को ख़ुद छोड़ के जाने की भी ज़हमत नहीं दी
हम थे मोहतात तअल्लुक़ में तवाज़ुन रक्खा
पास-ए-उल्फ़त रहा हद-दर्जा अक़ीदत नहीं दी
जिस क़दर टूट के चाहा उसे हम ने 'अश्फ़ाक़'
उस सख़ी ने हमें उतनी भी तो नफ़रत नहीं दी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq
our suggestion based on Ahmad Ashfaq
As you were reading Rahbar Shayari Shayari