tum jo aa jaao gham dhuaan ho jaaye
bazm-e-jaan rashk-e-aasmaan ho jaaye
toot jaata hai dam mohabbat ka
bad-gumaani agar jawaan ho jaaye
haal o maazi ki sarhadein aisi
zindagi pal mein raftagaan ho jaaye
saaf suthra muaamla rakhiye
us se pehle azaab-e-jaan ho jaaye
cheekh uthata hai dafatan kirdaar
jab koi shakhs bad-gumaan ho jaaye
laazmi hain vazaahatein ashfaaq
jab koi dost bad-gumaan ho jaaye
तुम जो आ जाओ ग़म धुआँ हो जाए
बज़्म-ए-जाँ रश्क-ए-आसमाँ हो जाए
टूट जाता है दम मोहब्बत का
बद-गुमानी अगर जवाँ हो जाए
हाल ओ माज़ी की सरहदें ऐसी
ज़िंदगी पल में रफ़्तगाँ हो जाए
साफ़ सुथरा मुआमला रखिए
उस से पहले अज़ाब-ए-जाँ हो जाए
चीख़ उठता है दफ़अतन किरदार
जब कोई शख़्स बद-गुमाँ हो जाए
लाज़मी हैं वज़ाहतें 'अश्फ़ाक़'
जब कोई दोस्त बद-गुमाँ हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq
our suggestion based on Ahmad Ashfaq
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari