de ke vo saare ikhtiyaar mujhe
aur karta hai sharmasaar mujhe
zakham tarteeb de raha hoon main
aur kuchh waqt de udhaar mujhe
paarsaai ka zoom hai un ko
kah rahe hain gunaahgaar mujhe
faasle ye simat nahin sakte
ab paraayon mein kar shumaar mujhe
dil ke gulshan mein tum chale aao
aur kar do sada-bahaar mujhe
tark-e-ulft ke b'ad bhi ashfaaq
tera rehta hai intizaar mujhe
दे के वो सारे इख़्तियार मुझे
और करता है शर्मसार मुझे
ज़ख़्म तरतीब दे रहा हूँ मैं
और कुछ वक़्त दे उधार मुझे
पारसाई का ज़ोम है उन को
कह रहे हैं गुनाहगार मुझे
फ़ासले ये सिमट नहीं सकते
अब परायों में कर शुमार मुझे
दिल के गुलशन में तुम चले आओ
और कर दो सदा-बहार मुझे
तर्क-ए-उल्फ़त के ब'अद भी 'अश्फ़ाक़'
तेरा रहता है इंतिज़ार मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq
our suggestion based on Ahmad Ashfaq
As you were reading Dil Shayari Shayari