gaye dinon ki raqabat ko vo bhula na sake | गए दिनों की रक़ाबत को वो भुला न सके

  - Ahmad Ashfaq

gaye dinon ki raqabat ko vo bhula na sake
shareek-e-bazm the lekin nazar mila na sake

azaab-e-hijr ke lamhaat ham bhula na sake
dayaar-e-ghair mein ik pal sukoon pa na sake

bahut baeed na tha masailon ka hal hona
ana ke paanv se zanjeer ham hata na sake

taalluqaat mein had-darja ehtiyaat rahi
qareeb aa na sake vo mujhe bhula na sake

fareb kha gaye tab ja ke inkishaaf hua
qareeb rah ke bhi ham un ko aazma na sake

गए दिनों की रक़ाबत को वो भुला न सके
शरीक-ए-बज़्म थे लेकिन नज़र मिला न सके

अज़ाब-ए-हिज्र के लम्हात हम भुला न सके
दयार-ए-ग़ैर में इक पल सुकून पा न सके

बहुत बईद न था मसअलों का हल होना
अना के पाँव से ज़ंजीर हम हटा न सके

तअल्लुक़ात में हद-दर्जा एहतियात रही
क़रीब आ न सके वो मुझे भुला न सके

फ़रेब खा गए तब जा के इंकिशाफ़ हुआ
क़रीब रह के भी हम उन को आज़मा न सके

  - Ahmad Ashfaq

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ashfaq

As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ashfaq

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari