ab kisi khwaab ki taabeer nahin chahta main
koi soorat pas-e-tasveer nahin chahta main
chahta hoon ki rifaqat ka bharam rah jaaye
ahad-o-paimaan ki tafseer nahin chahta mein
hukm saadir hai to naafiz bhi karo mere huzoor
faisley mein koi taakheer nahin chahta main
chahta hoon tujhe guftaar se qaail kar luun
baat mein lahja-e-shamsheer nahin chahta main
muddaa hai ki mera haq mujhe waapas mil jaaye
tere ajdaad ki jaageer nahin chahta main
अब किसी ख़्वाब की ताबीर नहीं चाहता मैं
कोई सूरत पस-ए-तस्वीर नहीं चाहता मैं
चाहता हूँ कि रिफ़ाक़त का भरम रह जाए
अहद-ओ-पैमान की तफ़्सीर नहीं चाहता में
हुक्म सादिर है तो नाफ़िज़ भी करो मेरे हुज़ूर
फ़ैसले में कोई ताख़ीर नहीं चाहता मैं
चाहता हूँ तुझे गुफ़्तार से क़ाइल कर लूँ
बात में लहजा-ए-शमशीर नहीं चाहता मैं
मुद्दआ है कि मिरा हक़ मुझे वापस मिल जाए
तेरे अज्दाद की जागीर नहीं चाहता मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq
our suggestion based on Ahmad Ashfaq
As you were reading Child labour Shayari Shayari