sab jal gaya jalte hue khwaabon ke asar se
uthata hai dhuaan dil se nigaahon se jigar se
aaj us ke janaaze mein hai ik shehar saf-aara
kal mar gaya jo aadmi tanhaai ke dar se
kab tak gaye rishton se nibhaata main ta'alluq
is bojh ko ai dost utaar aaya hoon sar se
jo aaina-khaana meri hairat ka sabab hai
mumkin hai mere ba'ad meri deed ko tarse
is ahad-e-khizaan mein kisi ummeed ke maanind
patthar se nikal aaun magar abr to barase
roothe hue suraj ko manaane ki lagan mein
ham log sar-e-shaam nikal padte hain ghar se
us shakhs ka ab phir se khada hona hai mushkil
is baar gira hai vo zamaane ki nazar se
lagta hai ki is dil mein koi qaid hai ashfaaq
rone ki sada aati hai yaadon ke khandar se
सब जल गया जलते हुए ख़्वाबों के असर से
उठता है धुआँ दिल से निगाहों से जिगर से
आज उस के जनाज़े में है इक शहर सफ़-आरा
कल मर गया जो आदमी तन्हाई के डर से
कब तक गए रिश्तों से निभाता मैं तअ'ल्लुक़
इस बोझ को ऐ दोस्त उतार आया हूँ सर से
जो आइना-ख़ाना मिरी हैरत का सबब है
मुमकिन है मिरे बा'द मिरी दीद को तरसे
इस अहद-ए-ख़िज़ाँ में किसी उम्मीद के मानिंद
पत्थर से निकल आऊँ मगर अब्र तो बरसे
रूठे हुए सूरज को मनाने की लगन में
हम लोग सर-ए-शाम निकल पड़ते हैं घर से
उस शख़्स का अब फिर से खड़ा होना है मुश्किल
इस बार गिरा है वो ज़माने की नज़र से
लगता है कि इस दिल में कोई क़ैद है 'अश्फ़ाक़'
रोने की सदा आती है यादों के खंडर से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ashfaq
our suggestion based on Ahmad Ashfaq
As you were reading Terrorism Shayari Shayari