un ko mein karbala ke maheene mein laaunga | उन को में कर्बला के महीने में लाऊँगा - Ahmad Khayal

un ko mein karbala ke maheene mein laaunga
kuufa ke saare log madine mein laaunga

ye zar bhi ek roz dafneene mein laaunga
saare jahaan ke dard ko seene mein laaunga

mitti kuch ajnabi se jazeeron ki laazmi
lautaa tu apne saath safeene mein laaunga

pehle karunga chat pe bahut der guftugoo
phir is ke ba'd chaand ko zeene mein laaunga

jee bhar ke mein ne khaak uda li nagar nagar
ab zindagi ko ek qareene mein laaunga

उन को में कर्बला के महीने में लाऊँगा
कूफ़ा के सारे लोग मदीने में लाऊँगा

ये ज़र भी एक रोज़ दफ़ीने में लाऊँगा
सारे जहाँ के दर्द को सीने में लाऊँगा

मिट्टी कुछ अजनबी से जज़ीरों की लाज़मी
लौटा तू अपने साथ सफ़ीने में लाऊँगा

पहले करूँगा छत पे बहुत देर गुफ़्तुगू
फिर इस के बअ'द चाँद को ज़ीने में लाऊँगा

जी भर के में ने ख़ाक उड़ा ली नगर नगर
अब ज़िंदगी को एक क़रीने में लाऊँगा

- Ahmad Khayal
0 Likes

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari