hai zulf-e-shab ki tamannaa tire shabaab ka rang | है ज़ुल्फ़-ए-शब की तमन्ना तिरे शबाब का रंग - Ahmad Merathi

hai zulf-e-shab ki tamannaa tire shabaab ka rang
jo dekh le to badal jaaye mahtaab ka rang

tiri nigaah ki ye kaif-baariyaan tauba
bhara hua tiri aankhon mein hai sharaab ka rang

ayaan hua hai mohabbat ki dastaan ban kar
kisi ke chehra-e-pur-noor par hijaab ka rang

hai un ki chashm-e-tajaahul ki kaar-farmaai
badal gaya jo meri zeest ki kitaab ka rang

dil-e-hazeen pe na poocho guzar gai kya kya
nigaah-e-husn mein dekha jo ijtinaab ka rang

ye rang-o-boo-e-chaman aarzi hain yun ahmad
ki sathe-aab pe jis tarah ik habaab ka rang

है ज़ुल्फ़-ए-शब की तमन्ना तिरे शबाब का रंग
जो देख ले तो बदल जाए माहताब का रंग

तिरी निगाह की ये कैफ़-बारियां तौबा
भरा हुआ तिरी आँखों में है शराब का रंग

अयाँ हुआ है मोहब्बत की दास्ताँ बन कर
किसी के चेहरा-ए-पुर-नूर पर हिजाब का रंग

है उन की चश्म-ए-तजाहुल की कार-फ़रमाई
बदल गया जो मिरी ज़ीस्त की किताब का रंग

दिल-ए-हज़ीं पे न पूछो गुज़र गई क्या क्या
निगाह-ए-हुस्न में देखा जो इज्तिनाब का रंग

ये रंग-ओ-बू-ए-चमन आरज़ी हैं यूँ 'अहमद'
कि सत्ह-ए-आब पे जिस तरह इक हबाब का रंग

- Ahmad Merathi
0 Likes

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Merathi

As you were reading Shayari by Ahmad Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Merathi

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari