har khwaab ki jab ulti ta'beer nazar aayi
takhreeb ke pahluu mein ta'aamir nazar aayi
tanhaai mein jab guzre takh'eel ki raahon se
taa-hadd-e-nazar us ki tasveer nazar aayi
us husn-e-mujassam ki maasoom nigaahon mein
duniya-e-mohabbat ki tafseer nazar aayi
is aalam-e-hasti mein aalaam-o-masarrat ki
har shakhs ke pairo'n mein zanjeer nazar aayi
jis raah se guzre hain har ek nafs ham ko
tadbeer se waabasta taqdeer nazar aayi
dil bujhne laga jab se dhundle hue aaine
mauhoom zamaane ki tasveer nazar aayi
हर ख़्वाब की जब उल्टी ता'बीर नज़र आई
तख़रीब के पहलू में ता'मीर नज़र आई
तन्हाई में जब गुज़रे तख़्ईल की राहों से
ता-हद्द-ए-नज़र उस की तस्वीर नज़र आई
उस हुस्न-ए-मुजस्सम की मासूम निगाहों में
दुनिया-ए-मोहब्बत की तफ़्सीर नज़र आई
इस आलम-ए-हस्ती में आलाम-ओ-मसर्रत की
हर शख़्स के पैरों में ज़ंजीर नज़र आई
जिस राह से गुज़रे हैं हर एक नफ़स हम को
तदबीर से वाबस्ता तक़दीर नज़र आई
दिल बुझने लगा जब से धुँदले हुए आईने
मौहूम ज़माने की तस्वीर नज़र आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Merathi
our suggestion based on Ahmad Merathi
As you were reading Qismat Shayari Shayari