hai sooni sooni har ik raahguzar aakhir-e-shab | है सूनी सूनी हर इक राहगुज़र आख़िर-ए-शब - Ahmad Merathi

hai sooni sooni har ik raahguzar aakhir-e-shab
koi kisi ka nahin gham-gusaar aakhir-e-shab

saji hui jo sitaaron ki anjuman dekhi
vo yaad aaye hain be-ikhtiyaar aakhir-e-shab

hai meri hamdam-o-dam-saaz meri tanhaai
nafs nafs hai mera raazdaar aakhir-e-shab

na jaane baitha hoon kab se junoon ke aalam mein
mujhe kisi ka nahin intizaar aakhir-e-shab

chali hai dafa'atan ehsaas ki vo purwaai
har ek lamha hua dil pe baar aakhir-e-shab

mere siva yahan koi nahin magar phir bhi
bhatk raha hoon main deewana-waar aakhir-e-shab

bisaat-e-zehn pe kis kis ke naam ubhar aaye
main kar raha tha ghamon ka shumaar aakhir-e-shab

fazaa mein chhaai hai ahmad ajab si betaabi
saba hai kis ke liye be-qaraar aakhir-e-shab

है सूनी सूनी हर इक राहगुज़र आख़िर-ए-शब
कोई किसी का नहीं ग़म-गुसार आख़िर-ए-शब

सजी हुई जो सितारों की अंजुमन देखी
वो याद आए हैं बे-इख़्तियार आख़िर-ए-शब

है मेरी हमदम-ओ-दम-साज़ मेरी तन्हाई
नफ़स नफ़स है मिरा राज़दार आख़िर-ए-शब

न जाने बैठा हूँ कब से जुनूँ के आलम में
मुझे किसी का नहीं इंतिज़ार आख़िर-ए-शब

चली है दफ़अ'तन एहसास की वो पुरवाई
हर एक लम्हा हुआ दिल पे बार आख़िर-ए-शब

मिरे सिवा यहाँ कोई नहीं मगर फिर भी
भटक रहा हूँ मैं दीवाना-वार आख़िर-ए-शब

बिसात-ए-ज़ेहन पे किस किस के नाम उभर आए
मैं कर रहा था ग़मों का शुमार आख़िर-ए-शब

फ़ज़ा में छाई है 'अहमद' अजब सी बेताबी
सबा है किस के लिए बे-क़रार आख़िर-ए-शब

- Ahmad Merathi
0 Likes

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Merathi

As you were reading Shayari by Ahmad Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Merathi

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari