aankhon mein ashk bhi hain mere lab pe aah bhi | आँखों में अश्क भी हैं मिरे लब पे आह भी

  - Ahmad Merathi

aankhon mein ashk bhi hain mere lab pe aah bhi
dushwaar kis qadar hai mohabbat ki raah bhi

gham hai hamein to ye hai zamaane ke saath saath
tum bhi badal rahe ho tumhaari nigaah bhi

vo aashna-e-lafz-e-wafa tak na ho sake
lafz-e-wafa pe ho gaye ham to tabaah bhi

tark-e-ta'alluqaat b-sad-shauq kijie
lekin kuchh is tarah ki rahe rasm-o-raah bhi

is daur-e-aagahi mein tarqqi ke baawajood
aasaan nahin hayaat se karna nibaah bhi

आँखों में अश्क भी हैं मिरे लब पे आह भी
दुश्वार किस क़दर है मोहब्बत की राह भी

ग़म है हमें तो ये है ज़माने के साथ साथ
तुम भी बदल रहे हो तुम्हारी निगाह भी

वो आश्ना-ए-लफ़्ज़-ए-वफ़ा तक न हो सके
लफ़्ज-ए-वफ़ा पे हो गए हम तो तबाह भी

तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ात ब-सद-शौक़ कीजिए
लेकिन कुछ इस तरह कि रहे रस्म-ओ-राह भी

इस दौर-ए-आगही में तरक़्क़ी के बावजूद
आसाँ नहीं हयात से करना निबाह भी

  - Ahmad Merathi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Merathi

As you were reading Shayari by Ahmad Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Merathi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari