ghamon ki dhoop mein uf mahtaab se chehre | ग़मों की धूप में उफ़ माहताब से चेहरे - Ahmad Merathi

ghamon ki dhoop mein uf mahtaab se chehre
jhuls ke rah gaye kya kya gulaab se chehre

likhi hui nazar aayein hikaayaten kya kya
parhe jo ghaur se hum ne kitaab se chehre

mata-e-noor masaib ne loot li shaayad
dikhaai dete hain be-aab-o-taab se chehre

ye sochta hoon kise mo'tabar kaha jaaye
nazar mein jitne hain sab hain saraab se chehre

jo inqilaab-e-zamaana se ho gaye roo-posh
khayal mein hain wahi la-jawaab se chehre

gira hai jab bhi sitaara koi bulandi se
ubhar ke zehan pe aaye shahaab se chehre

nazar ke saamne rahte the jo kabhi ahmad
wahi to rah gaye sab ho ke khwaab se chehre

ग़मों की धूप में उफ़ माहताब से चेहरे
झुलस के रह गए क्या क्या गुलाब से चेहरे

लिखी हुई नज़र आईं हिकायतें क्या क्या
पढ़े जो ग़ौर से हम ने किताब से चेहरे

मता-ए-नूर मसाइब ने लूट ली शायद
दिखाई देते हैं बे-आब-ओ-ताब से चेहरे

ये सोचता हूँ किसे मो'तबर कहा जाए
नज़र में जितने हैं सब हैं सराब से चेहरे

जो इंक़िलाब-ए-ज़माना से हो गए रू-पोश
ख़याल में हैं वही ला-जवाब से चेहरे

गिरा है जब भी सितारा कोई बुलंदी से
उभर के ज़ेहन पे आए शहाब से चेहरे

नज़र के सामने रहते थे जो कभी 'अहमद'
वही तो रह गए सब हो के ख़्वाब से चेहरे

- Ahmad Merathi
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Merathi

As you were reading Shayari by Ahmad Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Merathi

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari