subh se thoda idhar aur gai raat ke ba'ad | सुब्ह से थोड़ा इधर और गई रात के बा'द - Ahmad Muneeb

subh se thoda idhar aur gai raat ke ba'ad
laut aaya hoon darakhton se mulaqaat ke ba'ad

ishq mein rang nahin nasl nahin shajra nahin
us ka aaghaaz hai in sab ke mazaafat ke ba'ad

abr barase to khil uthati hai zameen ki khushboo
khushiyaan milti hain hamesha kai sadmaat ke ba'ad

lutf hai maangne mein is liye hum maangte hain
hum ko matlab nahin kya hoga munaajat ke ba'ad

baat hairat ki to ye hai ke badal jaati hai
meri auqaat tire hijr ke auqaat ke ba'ad

सुब्ह से थोड़ा इधर और गई रात के बा'द
लौट आया हूँ दरख़्तों से मुलाक़ात के बा'द

इश्क़ में रंग नहीं नस्ल नहीं शजरा नहीं
उस का आग़ाज़ है इन सब के मज़ाफ़ात के बा'द

अब्र बरसे तो खिल उठती है ज़मीं की ख़ुशबू
ख़ुशियाँ मिलती हैं हमेशा कई सदमात के बा'द

लुत्फ़ है माँगने में इस लिए हम माँगते हैं
हम को मतलब नहीं क्या होगा मुनाजात के बा'द

बात हैरत की तो ये है के बदल जाती है
मेरी औक़ात तिरे हिज्र के औक़ात के बा'द

- Ahmad Muneeb
0 Likes

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Muneeb

As you were reading Shayari by Ahmad Muneeb

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Muneeb

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari