sooni hai us ne na apni kabhi sunaai hai | सुनी है उस ने न अपनी कभी सुनाई है - Ahmad Muneeb

sooni hai us ne na apni kabhi sunaai hai
hamaare beech faqat ik yahi ladai hai

kisi ne khud se tarasha hai us ko thoda bahut
kisi ke vaaste duniya bani-banai hai

bhale ye sar hi kate par kahi jabeen na jhuke
hamaare purkhon ne daulat yahi kamaai hai

ye zindagi ye khushi aur gham bhi tum baanto
tumhaare paas to vaise bhi kul khudaai hai

muneeb aise zamaane mein hoon utaara gaya
jahaan malaal hai maatam hai na-rasaai hai

सुनी है उस ने न अपनी कभी सुनाई है
हमारे बीच फ़क़त इक यही लड़ाई है

किसी ने ख़ुद से तराशा है उस को थोड़ा बहुत
किसी के वास्ते दुनिया बनी-बनाई है

भले ये सर ही कटे पर कहीं जबीं न झुके
हमारे पुरखों ने दौलत यही कमाई है

ये ज़िंदगी ये ख़ुशी और ग़म भी तुम बाँटो
तुम्हारे पास तो वैसे भी कुल ख़ुदाई है

'मुनीब' ऐसे ज़माने में हूँ उतारा गया
जहाँ मलाल है मातम है ना-रसाई है

- Ahmad Muneeb
0 Likes

Mazdoor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Muneeb

As you were reading Shayari by Ahmad Muneeb

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Muneeb

Similar Moods

As you were reading Mazdoor Shayari Shayari