joohee tevar hua ke baith gaye
ham diyon ko bujha ke baith gaye
us ne rasman kaha thehar jaao
aur ham muskuraa ke baith gaye
baagh mein muntazir the ham us ke
kuchh parinde bhi aa ke baith gaye
she'r padhne shakeb-o-sarvat ke
ham bhi patri pe ja ke baith gaye
muntazir the nigaar-khaane ke
aainon ko saja ke baith gaye
tera wa'da tha laut aane ka
aur tum ho ki ja ke baith gaye
जूँही तेवर हुआ के बैठ गए
हम दियों को बुझा के बैठ गए
उस ने रस्मन कहा ठहर जाओ
और हम मुस्कुरा के बैठ गए
बाग़ में मुंतज़िर थे हम उस के
कुछ परिंदे भी आ के बैठ गए
शे'र पढ़ने शकेब-ओ-सर्वत के
हम भी पटरी पे जा के बैठ गए
मुंतज़िर थे निगार-ख़ाने के
आइनों को सजा के बैठ गए
तेरा वा'दा था लौट आने का
और तुम हो कि जा के बैठ गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Muneeb
our suggestion based on Ahmad Muneeb
As you were reading Tevar Shayari Shayari