nazar ke paas rah kar bhi pahunch se door ho jaana | नज़र के पास रह कर भी पहुँच से दूर हो जाना - Ahmad Musharraf Khawar

nazar ke paas rah kar bhi pahunch se door ho jaana
mohabbat mein ise kahte hain hum majboor ho jaana

khusa ai dil mudaava un ke zakhamon ka nahin warna
kahaan har zakham ki qismat mein hai naasoor ho jaana

badhaana is tarah se be-qaraari aur bhi dil ki
jhalak ushshaq ko dikhla ke phir mastur ho jaana

mohabbat ka hamaara dayra bas ittiba tak hai
humein zeba nahin hai sarmad-o-mansoor ho jaana

nazar chalke na chalke munhasir hai zarf par lekin
hai pehli shart dil ka dard se maamoor ho jaana

nazar ko taab-e-nazzaara rahi hai tere jalvo ki
ki laazim to nahin har jalwa-gah ka toor ho jaana

tujhe pa lene ka ehsaas is ko kahte hain shaayad
tire aariz ko choo kar zulf ka maghroor ho jaana

humein kya raas aaye baada-o-saagar ki apna to
nigaahon pe hai un ki munhasir makhmoor ho jaana

libaas-e-khaak hi se jab meri saari fazilat hai
to kyoon-kar zeb hai mujh ko bhala phir noor ho jaana

नज़र के पास रह कर भी पहुँच से दूर हो जाना
मोहब्बत में इसे कहते हैं हम मजबूर हो जाना

ख़ुशा ऐ दिल मुदावा उन के ज़ख़्मों का नहीं वर्ना
कहाँ हर ज़ख़्म की क़िस्मत में है नासूर हो जाना

बढ़ाना इस तरह से बे-क़रारी और भी दिल की
झलक उश्शाक़ को दिखला के फिर मस्तूर हो जाना

मोहब्बत का हमारा दायरा बस इत्तिबा' तक है
हमें ज़ेबा नहीं है सरमद-ओ-मंसूर हो जाना

नज़र छलके न छलके मुनहसिर है ज़र्फ़ पर लेकिन
है पहली शर्त दिल का दर्द से मामूर हो जाना

नज़र को ताब-ए-नज़्ज़ारा रही है तेरे जल्वों की
कि लाज़िम तो नहीं हर जल्वा-गह का तूर हो जाना

तुझे पा लेने का एहसास इस को कहते हैं शायद
तिरे आरिज़ को छू कर ज़ुल्फ़ का मग़रूर हो जाना

हमें क्या रास आए बादा-ओ-साग़र कि अपना तो
निगाहों पे है उन की मुनहसिर मख़मूर हो जाना

लिबास-ए-ख़ाक ही से जब मिरी सारी फ़ज़ीलत है
तो क्यूँ-कर ज़ेब है मुझ को भला फिर नूर हो जाना

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Majboori Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Majboori Shayari Shayari