tasavvuraat ke khaakon mein tera ang bhare | तसव्वुरात के ख़ाकों में तेरा अंग भरे - Ahmad Musharraf Khawar

tasavvuraat ke khaakon mein tera ang bhare
kabhi musavvir-e-hasti kuch aisa rang bhare

chamak uthe mere khwaab-o-khayaal ki duniya
yun meri zaat mein jalvo ke jal-tarang bhare

khayaal-e-sood-o-ziyaan phir na ho mohabbat mein
tiri nigaah kabhi dil mein vo umang bhare

thehar na jaaye kahi aaj phir se nabz-e-hayaat
pila vo jaam ki jo khwahishon mein jang bhare

suroor de vo ki ho vajd mein junoon raksaan
to saaz chhed kabhi aise bhi tarang bhare

palat ke vaar bhi karte kameen-gaah pe kya
humein to teer hi bakshe gaye hain zang bhare

b-tarz-e-nau liya jaaye phir imtihaan-e-dil
gulaab shaakh pe khilne lagen jo sang bhare

hayaat-e-nau hi kare jumbishein ata un ko
nazar se jaam pilaaye gaye jo bhang bhare

bhatk na jaayen agar hum to kya karein khaavar
jamaal-e-yaar ke raaste hain jab surang bhare

तसव्वुरात के ख़ाकों में तेरा अंग भरे
कभी मुसव्विर-ए-हस्ती कुछ ऐसा रंग भरे

चमक उठे मिरे ख़्वाब-ओ-ख़याल की दुनिया
यूँ मेरी ज़ात में जल्वों के जल-तरंग भरे

ख़याल-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ फिर न हो मोहब्बत में
तिरी निगाह कभी दिल में वो उमंग भरे

ठहर न जाए कहीं आज फिर से नब्ज़-ए-हयात
पिला वो जाम कि जो ख़्वाहिशों में जंग भरे

सुरूर दे वो कि हो वज्द में जुनूँ रक़्साँ
तो साज़ छेड़ कभी ऐसे भी तरंग भरे

पलट के वार भी करते कमीन-गाह पे क्या
हमें तो तीर ही बख़्शे गए हैं ज़ंग भरे

ब-तर्ज़-ए-नौ लिया जाए फिर इम्तिहान-ए-दिल
गुलाब शाख़ पे खिलने लगें जो संग भरे

हयात-ए-नौ ही करे जुम्बिशें अता उन को
नज़र से जाम पिलाए गए जो भंग भरे

भटक न जाएँ अगर हम तो क्या करें 'ख़ावर'
जमाल-ए-यार के रस्ते हैं जब सुरंग भरे

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari