bikhar na ja kahi khud ko meri panaah mein rakh | बिखर न जा कहीं ख़ुद को मिरी पनाह में रख - Ahmad Musharraf Khawar

bikhar na ja kahi khud ko meri panaah mein rakh
hain tund-o-tez jo dariya meri nigaah mein rakh

jhuke na sar ye kisi aastaan pe tere siva
to vo ghuroor-o-ana apne kaj-kulaah mein rakh

ye kab kaha ki mohabbat se baaz rah lekin
palat ke aa bhi sake raasta nigaah mein rakh

fareb-e-nafs se mahfooz to ho zaat meri
kahi to khauf koi lazzat-e-gunah mein rakh

rahega baaz kahaan dil bhala mohabbat se
par ek harf-e-tasalli to intibaah mein rakh

muqaabla to alag baat hai hawaon se
jala ke ek diya koi pehle raah mein rakh

aseer hoon na kahi daam-e-hirs-o-duniya ka
hamaara shauq-e-talb apni baargaah mein rakh

chhupe hain karb hazaaron is ik tabassum mein
gulon ki chaah jo kar khaar bhi nigaah mein rakh

abhi khabar hi kahaan tujh ko soz-e-dil kya hai
to qahqahon ko abhi rooh ki karaah mein rakh

yahi ujaale kabhi cheen lenge beenaai
zara sa shauq andheron ka bhi nigaah mein rakh

बिखर न जा कहीं ख़ुद को मिरी पनाह में रख
हैं तुंद-ओ-तेज़ जो दरिया मिरी निगाह में रख

झुके न सर ये किसी आस्ताँ पे तेरे सिवा
तो वो ग़ुरूर-ओ-अना अपने कज-कुलाह में रख

ये कब कहा कि मोहब्बत से बाज़ रह लेकिन
पलट के आ भी सके रास्ता निगाह में रख

फ़रेब-ए-नफ़्स से महफ़ूज़ तो हो ज़ात मिरी
कहीं तो ख़ौफ़ कोई लज़्ज़त-ए-गुनाह में रख

रहेगा बाज़ कहाँ दिल भला मोहब्बत से
पर एक हर्फ़-ए-तसल्ली तो इंतिबाह में रख

मुक़ाबला तो अलग बात है हवाओं से
जला के एक दिया कोई पहले राह में रख

असीर हूँ न कहीं दाम-ए-हिर्स-ओ-दुनिया का
हमारा शौक़-ए-तलब अपनी बारगाह में रख

छुपे हैं कर्ब हज़ारों इस इक तबस्सुम में
गुलों की चाह जो कर ख़ार भी निगाह में रख

अभी ख़बर ही कहाँ तुझ को सोज़-ए-दिल क्या है
तो क़हक़हों को अभी रूह की कराह में रख

यही उजाले कभी छीन लेंगे बीनाई
ज़रा सा शौक़ अँधेरों का भी निगाह में रख

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari