yun dekhne mein to bas khaak-e-mukhtasar hoon main | यूँ देखने में तो बस ख़ाक-ए-मुख़्तसर हूँ मैं - Ahmad Musharraf Khawar

yun dekhne mein to bas khaak-e-mukhtasar hoon main
mujhe kured kabhi khud mein bahr-o-bar hoon main

azal se ta-b-abad phaili hain jaden meri
kabhi na aayi khizaan jis pe vo shajar hoon main

hai ba'd-e-khuld-badar ik azaab-e-dar-badri
jise talash hai manzil ki vo khizr hoon main

kabhi nigaahon mein hota hai aalam-e-baala
kabhi vujood se hi apne be-khabar hoon main

hai zaat meri kabhi to sabhi dukhon ka ilaaj
kabhi lage hai ki tiryaaq-e-be-asar hoon main

mere vujood pe hai munhasir tiri taadaad
agarche teri nazar mein bas ik sifar hoon main

samajh ke harf-e-mukarrar jo lauh-e-hasti par
zamaana garche hai munkir mera magar hoon main

nahin hai bazm-e-khird mein jo meri qadr to kya
nigah-e-ahl-e-junoon mein to mo'tabar hoon main

meri zabaan-e-sadaqat ka jurm hai khaavar
zamaana mujh ko samajhta hai kheera-sar hoon main

यूँ देखने में तो बस ख़ाक-ए-मुख़्तसर हूँ मैं
मुझे कुरेद कभी ख़ुद में बहर-ओ-बर हूँ मैं

अज़ल से ता-ब-अबद फैली हैं जड़ें मेरी
कभी न आई ख़िज़ाँ जिस पे वो शजर हूँ मैं

है बा'द-ए-ख़ुल्द-बदर इक अज़ाब-ए-दर-बदरी
जिसे तलाश है मंज़िल की वो ख़िज़र हूँ मैं

कभी निगाहों में होता है आलम-ए-बाला
कभी वजूद से ही अपने बे-ख़बर हूँ मैं

है ज़ात मेरी कभी तो सभी दुखों का इलाज
कभी लगे है कि तिरयाक़-ए-बे-असर हूँ मैं

मिरे वजूद पे है मुनहसिर तिरी तादाद
अगरचे तेरी नज़र में बस इक सिफ़र हूँ मैं

समझ के हर्फ़-ए-मुकर्रर जो लौह-ए-हस्ती पर
ज़माना गरचे है मुनकिर मिरा मगर हूँ मैं

नहीं है बज़्म-ए-ख़िरद में जो मेरी क़द्र तो क्या
निगाह-ए-अहल-ए-जुनूँ में तो मो'तबर हूँ मैं

मिरी ज़बान-ए-सदाक़त का जुर्म है 'ख़ावर'
ज़माना मुझ को समझता है ख़ीरा-सर हूँ मैं

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari