dilon pe yun bhi ajab ikhtiyaar dekha hai | दिलों पे यूँ भी अजब इख़्तियार देखा है - Ahmad Musharraf Khawar

dilon pe yun bhi ajab ikhtiyaar dekha hai
jo pur-sukoon the unhen be-qaraar dekha hai

hila sake na qadam jin ke baada-o-saagar
unhi pe zulf-o-nazar ka khumaar dekha hai

hai imtizaaj ajab rang-o-husn ka us mein
ki jis ne dekha use baar-baar dekha hai

khula hai raaz pas-e-marg zaat ka apni
fazaa mein udta hua jab ghubaar dekha hai

jo aa sake na kabhi qaid-e-zaat mein apni
unhi pe tera sabhi ikhtiyaar dekha hai

junoon ne kar bhi liya paar dard ka sehra
abhi khird ko sar-e-rahguzaar dekha hai

bas iztiraab-o-khalish dard-o-aah aur aansu
har ek dil mein wafa ka mazaar dekha hai

to kya lubhaayegi dil ko shuguftagi-e-gul
ki jab nazar ne badan ki bahaar dekha hai

tha jin ko naaz bahut apni khush-libaasi par
rah-e-junoon mein unhen taar-taar dekha hai

दिलों पे यूँ भी अजब इख़्तियार देखा है
जो पुर-सुकूँ थे उन्हें बे-क़रार देखा है

हिला सके न क़दम जिन के बादा-ओ-साग़र
उन्ही पे ज़ुल्फ़-ओ-नज़र का ख़ुमार देखा है

है इम्तिज़ाज अजब रंग-ओ-हुस्न का उस में
कि जिस ने देखा उसे बार-बार देखा है

खुला है राज़ पस-ए-मर्ग ज़ात का अपनी
फ़ज़ा में उड़ता हुआ जब ग़ुबार देखा है

जो आ सके न कभी क़ैद-ए-ज़ात में अपनी
उन्ही पे तेरा सभी इख़्तियार देखा है

जुनूँ ने कर भी लिया पार दर्द का सहरा
अभी ख़िरद को सर-ए-रहगुज़ार देखा है

बस इज़्तिराब-ओ-ख़लिश दर्द-ओ-आह और आँसू
हर एक दिल में वफ़ा का मज़ार देखा है

तो क्या लुभाएगी दिल को शगुफ़्तगी-ए-गुल
कि जब नज़र ने बदन की बहार देखा है

था जिन को नाज़ बहुत अपनी ख़ुश-लिबासी पर
रह-ए-जुनूँ में उन्हें तार-तार देखा है

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari