jo aayi khushboo kabhi tere pairhan ki tarah | जो आई ख़ुशबू कभी तेरे पैरहन की तरह - Ahmad Musharraf Khawar

jo aayi khushboo kabhi tere pairhan ki tarah
gulaab jalne lage hain mere badan ki tarah

ye tere naaz-o-ada teri shokhi-o-shangi
hain dil-fareb bahut tere baankpan ki tarah

junoon ko raas to aayi sukoonat-e-sehra
kahaan vo lutf magar teri anjuman ki tarah

hain gul hazaaron shagufta chaman chaman lekin
kahaan vo nikhat-e-gul zakhm-e-jaan-o-tan ki tarah

bahaar choom ke aayi hai teri zulf kahi
gulaab mahke hain ab ke tire badan ki tarah

nahin hai taab-e-nazara isee liye shaayad
vo rukh pe zulf saja lete hain gahan ki tarah

na choo ke aayi agar tere jism ki khushboo
saba hai mushk-boo kyun aahu-e-khutan ki tarah

na zikr-e-qais kahi hai na nisbat-e-farhaad
badal gai hai mohabbat bhi fikr-o-fan ki tarah

kahaan kahaan ho rafu chaaragar se ab khaavar
jigar bhi chaak hua jaaye pairhan ki tarah

जो आई ख़ुशबू कभी तेरे पैरहन की तरह
गुलाब जलने लगे हैं मिरे बदन की तरह

ये तेरे नाज़-ओ-अदा तेरी शोख़ी-ओ-शन्गी
हैं दिल-फ़रेब बहुत तेरे बाँकपन की तरह

जुनूँ को रास तो आई सुकूनत-ए-सहरा
कहाँ वो लुत्फ़ मगर तेरी अंजुमन की तरह

हैं गुल हज़ारों शगुफ़्ता चमन चमन लेकिन
कहाँ वो निकहत-ए-गुल ज़ख़्म-ए-जान-ओ-तन की तरह

बहार चूम के आई है तेरी ज़ुल्फ़ कहीं
गुलाब महके हैं अब के तिरे बदन की तरह

नहीं है ताब-ए-नज़ारा इसी लिए शायद
वो रुख़ पे ज़ुल्फ़ सजा लेते हैं गहन की तरह

न छू के आई अगर तेरे जिस्म की ख़ुशबू
सबा है मुश्क-बू क्यूँ आहू-ए-ख़ुतन की तरह

न ज़िक्र-ए-क़ैस कहीं है न निस्बत-ए-फ़र्हाद
बदल गई है मोहब्बत भी फ़िक्र-ओ-फ़न की तरह

कहाँ कहाँ हो रफ़ू चारागर से अब 'ख़ावर'
जिगर भी चाक हुआ जाए पैरहन की तरह

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari