vujood garche mera khaak-e-mukhtasar se utha | वजूद गरचे मिरा ख़ाक-ए-मुख़्तसर से उठा - Ahmad Musharraf Khawar

vujood garche mera khaak-e-mukhtasar se utha
mah-o-nujoom ka halka meri sharar se utha

badal gaya hai meri kisht-e-jaan kharaabe mein
vo hashr jo ki tiri chashm-e-fitnaagar se utha

junoon-e-shauq to har pal hai goya paa-b-rikaab
takaan kahti hai ab paav ko safar se utha

sharaab-e-wasl ki mad-hoshi hai rag-o-pai mein
aseer-e-zulf ko ab husn ke asar se utha

na qat'a ki hai zaroorat na ehtiyaaj-e-qafas
yaqeen hi jo parinde ka baal-o-par se utha

mah-o-nujoom mere bakht par the rashk-kunaan
ghubaar ban ke main jab teri rah-guzar se utha

sawaal-e-nazr-e-karam kya ki teri deed ke ba'ad
main be-muraad kahaan tere sang-e-dar se utha

larz ke rah gaya qaateel bhi chand sa'at ko
jab irti'aash mere jism-e-be-asar se utha

tamaam umr rahi us ki justuju khaavar
jo dard ban ke kabhi dil kabhi jigar se utha

वजूद गरचे मिरा ख़ाक-ए-मुख़्तसर से उठा
मह-ओ-नुजूम का हल्क़ा मिरी शरर से उठा

बदल गया है मिरी किश्त-ए-जाँ ख़राबे में
वो हश्र जो कि तिरी चश्म-ए-फ़ित्नागर से उठा

जुनून-ए-शौक़ तो हर पल है गोया पा-ब-रिकाब
तकान कहती है अब पावँ को सफ़र से उठा

शराब-ए-वस्ल की मद-होशी है रग-ओ-पै में
असीर-ए-ज़ुल्फ़ को अब हुस्न के असर से उठा

न क़त्अ की है ज़रूरत न एहतियाज-ए-क़फ़स
यक़ीन ही जो परिंदे का बाल-ओ-पर से उठा

मह-ओ-नुजूम मिरे बख़्त पर थे रशक-कुनां
ग़ुबार बन के मैं जब तेरी रह-गुज़र से उठा

सवाल-ए-नज़्र-ए-करम क्या कि तेरी दीद के बा'द
मैं बे-मुराद कहाँ तेरे संग-ए-दर से उठा

लरज़ के रह गया क़ातिल भी चंद साअ'त को
जब इर्तिआ'श मिरे जिस्म-ए-बे-असर से उठा

तमाम उम्र रही उस की जुस्तुजू 'ख़ावर'
जो दर्द बन के कभी दिल कभी जिगर से उठा

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari