yun to in aankhon mein aata hai nazar dariya mujhe | यूँ तो इन आँखों में आता है नज़र दरिया मुझे - Ahmad Musharraf Khawar

yun to in aankhon mein aata hai nazar dariya mujhe
phir bhi us ka qurb rakhta hai bahut pyaasa mujhe

zindagi bas yaar ke gham par nahin hai munhasir
raat din bechain rakhta hai gham-e-duniya mujhe

ab to in zakhamon se meri aashnaai ho gai
chaaragar behtar yahi hai ab na kar achha mujhe

main ki jis ke vaaste barson raha ik aabjoo
jaate jaate kar gaya vo ret ka sehra mujhe

waz'a kaisi kaisi badloon teri khaatir zindagi
chhod rahne de zara jaisa bhi hoon waisa mujhe

jab se vo dil mein basa hai zaat meri anjuman
kaise ye kah doon kiya hai ishq ne rusva mujhe

is liye mujh se gurezaan hain sahaare aaj bhi
zindagi har mod tak le kar gai tanhaa mujhe

narm ho mitti to shaayad khil uthe chaahat ke phool
main ki ik baadal hoon apni zaat par barsa mujhe

ho ke khaavar bhi isee ke lutf se raushan hoon main
be-rukhi us ki bana degi shab-e-yaldaa mujhe

यूँ तो इन आँखों में आता है नज़र दरिया मुझे
फिर भी उस का क़ुर्ब रखता है बहुत प्यासा मुझे

ज़िंदगी बस यार के ग़म पर नहीं है मुनहसिर
रात दिन बेचैन रखता है ग़म-ए-दुनिया मुझे

अब तो इन ज़ख़्मों से मेरी आश्नाई हो गई
चारागर बेहतर यही है अब न कर अच्छा मुझे

मैं कि जिस के वास्ते बरसों रहा इक आबजू
जाते जाते कर गया वो रेत का सहरा मुझे

वज़्अ कैसी कैसी बदलूँ तेरी ख़ातिर ज़िंदगी
छोड़ रहने दे ज़रा जैसा भी हूँ वैसा मुझे

जब से वो दिल में बसा है ज़ात मेरी अंजुमन
कैसे ये कह दूँ किया है इश्क़ ने रुस्वा मुझे

इस लिए मुझ से गुरेज़ाँ हैं सहारे आज भी
ज़िंदगी हर मोड़ तक ले कर गई तन्हा मुझे

नर्म हो मिट्टी तो शायद खिल उठें चाहत के फूल
मैं कि इक बादल हूँ अपनी ज़ात पर बरसा मुझे

हो के 'ख़ावर' भी इसी के लुत्फ़ से रौशन हूँ मैं
बे-रुख़ी उस की बना देगी शब-ए-यलदा मुझे

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Mood off Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Mood off Shayari Shayari