hua vo khoob-roo yun be-hijaab aahista aahista | हुआ वो ख़ूब-रू यूँ बे-हिजाब आहिस्ता आहिस्ता - Ahmad Musharraf Khawar

hua vo khoob-roo yun be-hijaab aahista aahista
nazar dekhe hai jaise koi khwaab aahista aahista

bane jaise kali koi gulaab aahista aahista
yun kuch us shokh par aaya shabaab aahista aahista

badha hai dard-e-dil aur iztiraab aahista aahista
hue aashiq giriftaar-e-azaab aahista aahista

hai kaisa seher ye madhosh kar ke tishna-lab rakha
pilaai us nazar ne jo sharaab aahista aahista

jafaon ke tasalsul mein koi waqfa zaroori hai
deewana laayega sahne ki taab aahista aahista

misaal-e-chaak ho kar rah gaya gardaan vujood apna
kisi ne yun kiya khaana-kharaab aahista aahista

nibaahi dosti kuch yun hamaari baada-noshi par
kare hai mohtasib bhi ehtisaab aahista aahista

na chaaha phir bhi ja pahunchen usi sehra mein deewane
dikhaaya us nazar ne yun saraab aahista aahista

hua jab khatm sarmaaya to phir rakht-e-safar baandha
chukaaya zeest ka hum ne hisaab aahista aahista

हुआ वो ख़ूब-रू यूँ बे-हिजाब आहिस्ता आहिस्ता
नज़र देखे है जैसे कोई ख़्वाब आहिस्ता आहिस्ता

बने जैसे कली कोई गुलाब आहिस्ता आहिस्ता
यूँ कुछ उस शोख़ पर आया शबाब आहिस्ता आहिस्ता

बढ़ा है दर्द-ए-दिल और इज़्तिराब आहिस्ता आहिस्ता
हुए आशिक़ गिरफ़्तार-ए-अज़ाब आहिस्ता आहिस्ता

है कैसा सेहर ये मदहोश कर के तिश्ना-लब रक्खा
पिलाई उस नज़र ने जो शराब आहिस्ता आहिस्ता

जफ़ाओं के तसलसुल में कोई वक़्फ़ा ज़रूरी है
दिवाना लाएगा सहने की ताब आहिस्ता आहिस्ता

मिसाल-ए-चाक हो कर रह गया गर्दां वजूद अपना
किसी ने यूँ किया ख़ाना-ख़राब आहिस्ता आहिस्ता

निबाही दोस्ती कुछ यूँ हमारी बादा-नोशी पर
करे है मोहतसिब भी एहतिसाब आहिस्ता आहिस्ता

न चाहा फिर भी जा पहुँचे उसी सहरा में दीवाने
दिखाया उस नज़र ने यूँ सराब आहिस्ता आहिस्ता

हुआ जब ख़त्म सरमाया तो फिर रख़्त-ए-सफ़र बाँधा
चुकाया ज़ीस्त का हम ने हिसाब आहिस्ता आहिस्ता

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari