ghuroor-zaat kahi naqd-e-jaan mein chhod aaye | ग़ुरूर-ज़ात कहीं नक़्द-ए-जाँ में छोड़ आए - Ahmad Musharraf Khawar

ghuroor-zaat kahi naqd-e-jaan mein chhod aaye
vo aag phir usi aatish-fishaan mein chhod aaye

azaab-e-hijr se tere visaal-lamhon tak
hum apni zaat kahi darmiyaan mein chhod aaye

tamaam umr phir us ki talash mein bhatke
vo ik sukoon jo kacche makaan mein chhod aaye

na raas aaya use meri zaat ka thehraav
to khud ko is liye barq-e-tapaan mein chhod aaye

chura ke waqt se apne azaab ke lamhe
b-shakl-e-sang yad-e-mehrbaan mein chhod aaye

hua na yun kabhi ehsaas-e-shiddat-e-hijraan
badan ki dhoop tire jism-o-jaan mein chhod aaye

tiri nigaah kare ab madaar ki ta'een
sitaara apna tiri kahkashaan mein chhod aaye

guzarta hai kaf-e-saffaak se ya phir sar se
maal-e-gul to yad-e-baaghbaan mein chhod aaye

wahin thi darj hikaayaat-e-naa-saboori-e-dil
vo ek mod jo tum dastaan mein chhod aaye

ग़ुरूर-ज़ात कहीं नक़्द-ए-जाँ में छोड़ आए
वो आग फिर उसी आतिश-फ़िशाँ में छोड़ आए

अज़ाब-ए-हिज्र से तेरे विसाल-लम्हों तक
हम अपनी ज़ात कहीं दरमियाँ में छोड़ आए

तमाम उम्र फिर उस की तलाश में भटके
वो इक सुकून जो कच्चे मकाँ में छोड़ आए

न रास आया उसे मेरी ज़ात का ठहराव
तो ख़ुद को इस लिए बर्क़-ए-तपाँ में छोड़ आए

चुरा के वक़्त से अपने अज़ाब के लम्हे
ब-शक्ल-ए-संग यद-ए-मेहरबाँ में छोड़ आए

हुआ न यूँ कभी एहसास-ए-शिद्दत-ए-हिज्राँ
बदन की धूप तिरे जिस्म-ओ-जाँ में छोड़ आए

तिरी निगाह करे अब मदार की तअईन
सितारा अपना तिरी कहकशाँ में छोड़ आए

गुज़रता है कफ़-ए-सफ़्फ़ाक से या फिर सर से
मआल-ए-गुल तो यद-ए-बाग़बाँ में छोड़ आए

वहीं थी दर्ज हिकायात-ए-ना-सबूरी-ए-दिल
वो एक मोड़ जो तुम दास्ताँ में छोड़ आए

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari