aankhon mein jo samaaye na manzar lapet de | आँखों में जो समाए न मंज़र लपेट दे - Ahmad Musharraf Khawar

aankhon mein jo samaaye na manzar lapet de
ya meri fikr mein koi mahshar lapet de

un ki nigah-e-mast ka dil mein suroor hai
saaqi se kah do baada-o-saagar lapet de

duniya ko yun khabar to ho aalaam-e-zeest ki
kaanton ke saath aaj gul-e-tar lapet de

hoon mahv-e-khwaab un ke tasavvur ki god mein
ai waqt apne dard ka bistar lapet de

hota gumaan hai dekh ke be-taabi-e-nazar
qatre mein jaise koi samundar lapet de

ab hum karenge quwwat-e-baazu se faisla
munsif tu apne adl ka daftar lapet de

sehra se jab palatne ka imkaan hi nahin
hangaam-e-rozgaar mera ghar lapet de

aagaah rah yun sarv-o-sanobar na ban ke jee
aisa na ho ki koi tira sar lapet de

baar-e-ilaah kar de ata azm-e-haidri
ya phir samajh ke harf-e-mukarrar lapet de

sayyaad main jo haar gaya hausale ki jang
phir khud kahunga tujh se mere par lapet de

आँखों में जो समाए न मंज़र लपेट दे
या मेरी फ़िक्र में कोई महशर लपेट दे

उन की निगाह-ए-मस्त का दिल में सुरूर है
साक़ी से कह दो बादा-ओ-साग़र लपेट दे

दुनिया को यूँ ख़बर तो हो आलाम-ए-ज़ीस्त की
काँटों के साथ आज गुल-ए-तर लपेट दे

हूँ महव-ए-ख़्वाब उन के तसव्वुर की गोद में
ऐ वक़्त अपने दर्द का बिस्तर लपेट दे

होता गुमाँ है देख के बे-ताबी-ए-नज़र
क़तरे में जैसे कोई समुंदर लपेट दे

अब हम करेंगे क़ुव्वत-ए-बाज़ू से फ़ैसला
मुंसिफ़ तू अपने अद्ल का दफ़्तर लपेट दे

सहरा से जब पलटने का इम्कान ही नहीं
हंगाम-ए-रोज़गार मिरा घर लपेट दे

आगाह रह यूँ सर्व-ओ-सनोबर न बन के जी
ऐसा न हो कि कोई तिरा सर लपेट दे

बार-ए-इलाह कर दे अता अज़्म-ए-हैदरी
या फिर समझ के हर्फ़-ए-मुकर्रर लपेट दे

सय्याद मैं जो हार गया हौसले की जंग
फिर ख़ुद कहूँगा तुझ से मिरे पर लपेट दे

- Ahmad Musharraf Khawar
0 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Musharraf Khawar

As you were reading Shayari by Ahmad Musharraf Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Musharraf Khawar

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari