zindagi gham ki aanch sah koi | ज़िंदगी ग़म की आँच सह कोई - Ahmad Riyaz

zindagi gham ki aanch sah koi
yun jali yun bujhi ki dhool hui

hum ne bhi jashn-e-gul ko dekha tha
aaj tak sochte hain bhool hui

kya karein apni is tabi'at ko
aap se mil ke bhi malool hui

husn-e-sheereen raha shikaar-e-hawas
jehad-e-farhaad be-husool hui

hum hain vo kushtagaan-e-shauq jinhen
sohbat-e-daar bhi qubool hui

le sambhal zulmato_n ke rakhwaale
apna ab raushni usool hui

kis ko hansta mila chaman mein riyaaz
ghunchagi kis ki khil ke phool hui

ज़िंदगी ग़म की आँच सह कोई
यूँ जली यूँ बुझी कि धूल हुई

हम ने भी जश्न-ए-गुल को देखा था
आज तक सोचते हैं भूल हुई

क्या करें अपनी इस तबीअ'त को
आप से मिल के भी मलूल हुई

हुस्न-ए-शीरीं रहा शिकार-ए-हवस
जेहद-ए-फ़रहाद बे-हुसूल हुई

हम हैं वो कुश्तगान-ए-शौक़ जिन्हें
सोहबत-ए-दार भी क़ुबूल हुई

ले सँभल ज़ुल्मतों के रखवाले
अपना अब रौशनी उसूल हुई

किस को हँसता मिला चमन में 'रियाज़'
ग़ुन्चग़ी किस की खिल के फूल हुई

- Ahmad Riyaz
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Riyaz

As you were reading Shayari by Ahmad Riyaz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Riyaz

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari