kya kya mohabbaton ke zamaane badal gaye
ab tum kabhi mile ho to aansu nikal gaye
fart-e-gham-e-hawadis-e-dauraan ke baawajood
jab bhi tire dayaar se guzre machal gaye
main nuqta-cheen nahin hoon magar ye bataiye
vo kaun the jo hans ke gulon ko masal gaye
kuchh dast-e-gulfarosh mein sanwala ke rah gaye
kuchh baagbaan ki barq-nawaazi se jal gaye
tum ne hamein fareb-e-qayaadat diya to hai
lekin kabhi hua hai ki toofaan tal gaye
ik vo bhi the jo bah gaye maujon ke saath saath
ik ham bhi hain jo kha ke thapede sambhal gaye
क्या क्या मोहब्बतों के ज़माने बदल गए
अब तुम कभी मिले हो तो आँसू निकल गए
फ़र्त-ए-ग़म-ए-हवादिस-ए-दौराँ के बावजूद
जब भी तिरे दयार से गुज़रे मचल गए
मैं नुक्ता-चीं नहीं हूँ मगर ये बताइए
वो कौन थे जो हँस के गुलों को मसल गए
कुछ दस्त-ए-गुल-फ़रोश में सँवला के रह गए
कुछ बाग़बाँ की बर्क़-नवाज़ी से जल गए
तुम ने हमें फ़रेब-ए-क़यादत दिया तो है
लेकिन कभी हुआ है कि तूफ़ान टल गए
इक वो भी थे जो बह गए मौजों के साथ साथ
इक हम भी हैं जो खा के थपेड़े सँभल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Riyaz
our suggestion based on Ahmad Riyaz
As you were reading Emotional Shayari Shayari